jeevan ka lakshay bhool sa gaya hoon,
yaad hi nahin k yahaan main aaya kyun thaa?
yeh bandhan mein mohjaal kase hai mujhe,
baandhii hai isne ankhon par patti,
aur main iss bandhi patti se gaandhari sa ho gaya hoon,
nahin sujhta koi pathh muktii ka,
na hi dikhtii hai koi kiran roshni ki,
chaaron ore mere ghorr andhkaar hai,
saath hi phaili hain nirasha ki lataayen,
kiis tarha aaye prakash iss qile mein,
aur bataa jaye k tera lakshyaa yeh nahin,
kuchh aur hai,
kahin aur hai.