20120412

maa

maa,
jaise k varsha ka mausam,
woh jal deti hai,
phal deti hai,
jeevan ka taap door karti hai,
asamaa se khud ko gala pighla kar hamen deti jati hai,
bina bhed-bhav k,
jeevan k rikt sthan ko bhar deti hai,
hamare bhitar ki komal bhav maa ki hi den hote hain,
gar maa na hoti to....

kaashh

harr beet ta lamhaa
harr pall kuchh jodtaa hai
kuchh bichhartaa hai jeevan mein
kuchh ehsaas
kuchh sapne
kuchh vaayade
kuchh......
mann mein har pall chaltaa hai
kuchh harr pall
harr waqtt
jeevan ka yehii niyamm hai
sadiyon se
naa jaane kabse
insaa bhramm mein hota hai
kaash
yeh bhaavnayen naa hotii
kaashh
woh jo dharktaa sa hai
patthar ka hota...

chaatak

bindhaa samayy sharr se jeevan chaatakk,
latpathh haii sharirr akaankshaon ke raktt se,
jihvaa pyaasi hai swaati boond kii khaatirr,
nayann bharr gaye hain atitt kii rett se,
jhuriiyaan hain padii jaati raah kii thapedon se,
bojhill sii ho chalii haii chaal bhii,
udane ko kehtii hain khwaahishen uskii,
jismm haii kehta
bahutt ho gyaa udnaa,udaana,
ab pankhon mein pahle sii jaan naa rahii,
abb bass pratikshaa haii kabb mile swaatii boond....

shabdd

shabdd,
bejaan shabdd,
bejaan hi hota hai har shabdd,
jabb ham karte hain unka upyog,
parr kya hota hai?
jab woh shabdd baahar aate hain,
khushi dete hain yahi shabdd,
dukh ki peer ko kam karte hain yahi shabdd,
khushi ko hamari apne aur begano ko bataate hain yahi shabdd,
gamm ho tab bhi unhen paribhashit karte hain yahi shabdd,
har bhavana ko vyakt karte hain yehi shabdd,
pannon par dikhne wale yehi shabdd khud hi bante bigadte nahin,
banaate bhi hain bidaagte bhi hain,
har rishte ko parwaan chadhne ke kaaran hote hain yehi shabdd,
unke tootne mein bhi ahamm bhumikaa hote hain yehi shabdd,
bejaan se yeh shabdd mann ki bagiaa ke phoolon ki tarha hain,
baaten badi badi hoti hain jinhen banaate hain yehi chhote shabdd.