baazaar h duniyaa
dukaaney hain
rishtey biktey hain
log biktey hain
bhaavnaon ka bhi haat hai
mol h
woh dekho ekk shakhs aansuon k mol ekk rishtaa kharidd rhaa h
woh nukkad parr hansii ka pitaara kholey
mazmaa lagaye baithaa h ekk vyapaari
ghere baithey hain kharidaar
khushii kharidne aayen hain
woh kinaare kone mein akhirii dukaan
sapney biktey hain
20120716
bazaar
abb
abb khwaab nhi aate uskey raaton ko inn ankhon mein...
footpaath pr khaali pet sotii zindgii nazr aati h...
abb nhi bhaati woh muskuraht jo zindgii thi kbi...
toote khilonon k saath rotey bachchey nzr aate hain......
footpaath pr khaali pet sotii zindgii nazr aati h...
abb nhi bhaati woh muskuraht jo zindgii thi kbi...
toote khilonon k saath rotey bachchey nzr aate hain......
Subscribe to:
Posts (Atom)