20120228

sidhiyan

mere ghar ki uppar ki sidhiyan
jahan barson pahle main ghanto baithta
bunta tha khwab
sochta tha dunia bhar ki baaten
kabhii asmaa mein udte parindon ko dekhta
kai baar vahin baithe maine taron ko tutte dekha
subah sham raaten sabhi maine bitayen hain wahaan
ajj bhi hain woh sidhiyan
wahin jas ki tas
par main badal sa gaya hoon zindagii ki bhagadauri mein
woh asmaa k parinde nahin dikhte
na hi raaton ko tut.te taaron ka khayal aata hai
kabhii unn sidhiyon par aate jaate lagta hai k woh kah rahi ho kuchh waqt to thahro
par kadam nahin rok pata
ansuna kar deta hoon
aur nikal leta hoon
zindagii ki ussi bhag-daud mein shamil ho jaata hoon

No comments:

Post a Comment