talaash,
tumhen talaash hai jinkii,
dhoondh rahii hain jinhen nazaren tumharii,
gaurr se dekho to,
tumhare paas hi to hain sabhii,
parr lagtaa hai najarr tumharii kamzor ho gayii hai paas kii,
tabhii to bass door ka hi najarr aata hai tumhen,
najaron ko tumharii jo butt patthar ke nazarr aate hain tumhare aas-paas,
tumhen jinkii dhadkann bhii sunayii nahii detii,
naa hii nazaren unkii padhh paateho tum unkii,
padh paate to yunn naa bhatke,
yunn na naachte shabdon ke farebii jaal kii ridham parr,
woh jo patthar se dikhte hain tumhen,
rishte hain drasal,
bass zaruratt hai unhen tarashne kii,
unn bejaan patthron mein bhii jaan hai,
parr shaayad tum nahii samjhoge,
tumhen aadat jo padd gayi hai farebii shabdon kii,
ho sake to waapas jao apnii duniaa mein,
jahaan sabhii hain tumhare hii manchahe roop mein,
bass taraasho unn butto ko apnepan se,
ehsaas ki chhenii,
snehh ki hathaudii kii zaruratt hogii unkii khatirr,
jo tumhare paas hai mujhko pataahai,
varnaa barson baad butto kii iss duniaa mein ekk butt aur badhh jayega,
aurr koii naa hogaa unhen taraashne wala......
No comments:
Post a Comment