20120613

neend aur aankhen

1.
koshishen tammam krte hain k moond ley palken
darte hain kho n jaayen paani ki yeh do boonden

2.
aaj wohi manjar h inn nigaahon mein
unkii yaaden raat phirr jagaayengii hamen

3.
gamm kyunn karta h re mann baaware
neend aaj nhi to kyaa.
so lena tu meri maut k baad

4.
jaagtii aankhon mein besakhtaa ekk khayaal jaaga
kyaa hogaa unka.
jab hmey neend aa jaayegii

5.
kuchh khwaab adhurey hain zindgii k panno parr
wqt milega to unko bhii sochenge

6.
jaane kis khataa ki sazaa h yeh
suntey the bekhtaa ko yahaan sazaa nhi miltii

No comments:

Post a Comment