20141201

Kbhi kbhi kho bhi jati hain

Kbhi kbhi kho bhi jati hain mayen
Duniyavi badlon mein
Aur dur nikal jati hain
Dur bahut dur
Itni dur k barson baad bhi nhi milti

Us din jb woh ro raha tha
Rote huye pukaar raha tha
Bhagwaan ko
Jo saamne hi khada tha
Muskura rha tha
Aur usi k saamne
Woh nar bhediye bhambhod rahe the
Ekk naari deh ko jo maa thi uski
Jiska eklauta asmaa tha woh
Aur phir
Jhadi k kinaare aankhen kholi usne
Kuchh bhi na tha
Bs tha woh jise param pita kehte hain sabhi
Woh naari
Naari deh kho gyi thi

No comments:

Post a Comment