Saath hi hai khuda tere,
O re bandey
Kyon bechain hai rooh teri
20141026
20141022
Raam aane waale hain kyaa
Lautey raam ayodhyaa ko jab
The roshan janpad k path o aagaar
Awadh ki sadaken
Aaj phir roshan hain
Raam aane waale hain kyaaaa?
Diwaali
diwaali
raat amavas ki
shahar saja roshni se
mann ko jo roshan kare
ekk aisa deep jala bandey
20141011
Few lines on pari's birthday
Umang se bhare hon
Din tumhaarey
Sukoon bhari hon
Neenden
Har waqt,har jagha
Sachhey saathi hon
Ho poori har chaahat
Poori hon saari ummiden
Chamkta hai jaise suraj gagan mein
Dharti par tum chamko
Ho abhi chhoti kali k jaisi
Phool ban kar jahaan mein mehko
Hai mauka tumhaarey janamdin ka
Hai mgar mere haath khaali
Nahi koi guldasta
Na koi hai tohfa
Bas diye sang hai pooja ki thaali
Khul k jeeyo
Aur khilkhilao
Hai aashish
Jag mein naam kamao
20141008
mere shabd
Do akshar
Beti har pita ki laadli hoti hai,aur fakhr bhi
Jo bin maange khushi bikherti hai
Saare ghar aangan mein
Apni totli jabaan se jab woh pita ko pukarti hai
Us waqt yun lgta hai
Jaise ek nirjhar behne lge
Jaise k saptsur kaan k parde par gire hon
shahad ki dali si meethi
Resham se bhi komal
Mere jeevan mein bhi hai aisi khushi
Yun to is safar ki shuruaat mere mann k kisi kone se huyi
aur shaayad hoti bhi hai,rishton ki shuruaat,kisi andhere kone se hi,jahaan bin paani,hawa,khaad k ek beej apni konpal kholta hai,rishtey ka beej,
phir us paudhey ko bda karne ki khaatir pyaar ka jal,sneh ki dhoop dena hoti hai,
par yahaan ulat tha,nanhe paudey ne krishkaay sharir waale maali ko jiski aankhen thakne lgi thi,aur aasmaa gehra hone lga tha,ko sambhaala,saheja,nav urzaa di,
maali nishabd sa tukoor tukoor takta raha,aur paudhaa is maali ki jis se uska koi rishtaa na tha,gar kuchh tha to ekk neh, bas usi rishtey ki dor thaame woh badhte rahe
kayi ekk dafa maali k bojh se komal paudha dagmagaya,kahi dafa maali ki chhaya ne suraj ki dhoop ko rokne ki koshish ki,par paudhey ne khud ko sthir karte huye,us maali ko bhi jeevan diya
Lado ka mann padhne ki ek naakaam koshish
Sanjoye the tumne
Meri khaatir kuchh sapney
Thaama tha mujhko
Saheja tha mujhko
Yeh yaad
Godi mein le ke sunaayi thi lori
Bahut maante they
Bahut chaahte they
Kya kar diya maine
Jo bna li yoon doori
Bahut jakham khaye rishton se
Naaton ne nocha,kharocha
Mila jaise mujhko sang tumhara
Maine bhi to bas ek ko diya bas sahaara
Ek yehi tha na tumahari nazar mein gunaah mera
Ek pal na socha
Na hi bichara
Tumare bina hai kaun mera sahara
Kaise hoga tum bin tumhari lado ka gujaara
Phir main wahin raah ki dhool mein houngi
Mere janak bin tumhare
Kya reh jayega astitav mera
Yeh lines likhi thi 16 january 2013 ko,
Ek soch aayi thi,tumhaare aur mere beech k un 9 dinon ki baat cheet padh kar,
Ekk naakaam si koshish ki thi,lado ban ne ki,tumare mann ko shabdon mein utaarne ki
happy birthday to you
ये हौसला ना कभी मान्द पड़े
है जो अभी धुंधला सा आसमां
सूरज आज का उसको रोशन करे
आरजू के परिंदे जो ख्वाबों में बसते हैं
जीवन आसमा में कुलांचे भरें
नब्ज़ की तरहा धडकता वक्त जो बेलगाम चलता है
वो वक्त तुम्हारे ही इशारों पे चले
चराग चाँद का यूँही करे रोशन तुम्हारी रूह को
टीस देती यादों को जगमग सितारे भरें
पायी है सदा ही इक मुस्कान जब भी देखा है तुम्हे
मुस्कान की ये बरखा सदा ही बरसा करे
जुड़ते रहें खुशियों के मौसम जीवन बगिया में
इन्द्रधनुष के रंगों से तेरा जीवन सराबोर रहे
ये बरस तुम्हारे हर ख्वाब को पूरा करे
on di's birthday
आने वाले कल को
स्टार्स आँखों में भर जाएँ
चमका दें हर पल को
सूरज देवे रंग सुनहरा
चाँद आवे आँगन को
सपनीली अखियों में
पलते हैं कुछ नन्हे ख्वाब
सच हो जावे वो सारे
महका दे जीवन को
HAPPY BIRTHDAY
khushiyon ki potli liye
Khada hai aaj
Kholo apney pankh
Utar fenko saari chintaayen
Aur udaan bharo
Naye kshitiz ki or
Happy birthday pari
pyaar
woh
sard mausam aur sabj chehraa,
peshanii parr halkaa pasinaa,
bandd kamraa beete majii mein bhatkatii woh besukoonn ladkii,
sochaa kartii hai na jane haqiqatt hamesha talkhh kyunn hoti hai,
woh filmon,kahaniyon mein bhi to ladkiyan hain jinko isq ke sivaa koi kaam nhii,
yahaan to jindgii mein do ghadi ka bhi sukoon nhii,
sochaa karti hai yehii woh nekksiratt ladkii
koshishen tamaam kartii hai,
subahh se shaam kartii hai murjhaye phoolon ko hasaane ki apnii koshish woh,
dekha kartaa hoon aksarr usko,
merii raah se hokarr rozaana hi gujraa kartii hai woh dill ki khubsuratt sadaasurat ladkii
shaayad
tumhari baaton ka,
koi jawaab nahin hai mere paas,
main to bass apnii tanhaii mitane tumhare paas aaya thaa,
sochaa thaa tumse baaten karke mitt jaaye merii tanhaii shaayad,
milaa jo tumse to tumko bhii khudd saa hii paaya,
abb bhataktaa hoon aawaara saa
kisii aur kii talaash mein,
koi to mile raah-e-zindagii mein
kahin,kisii ke paas to jawaab hogaa
merii tanhaii kaa shaayad.
kaash
nazarr aayi hai sirff udaasi keval gamm
,meraa dill chahta hai k unn ankhon mein ho khushi
zindagii machalti dikhe,
ekk lamhe ko bhii gar aisa ho jaye,
main bhar sakun unmen ujale
roshaniyan,uss ekk lamhe ki khatir
main de sakta hoon apna jeevan tamaam,
armaa hai meri zindagii ka ekk,
dekhoon unn ankhon ko hanste muskurate,
kyaa poora hoga mera ye armaa?
kyuki suna hai maine logon se
k socha huaa kabhii poora nahin hota
,parr kashh aisaa ho
yehh dill chahta hai...
sansaar
jahaan bhi dekhta hoon wahin nazar aati hai berang duniyaa,
sabhii chale jaa rahen
naa jaane kidhar
ankhen band kiye andhon ki tarha,
dekh kar yeh manzar sochta hoon
anndhe inn ankh walon se hai behtar,
sabhii badhe ja rahe hain hodd mein
aur duniya
woh to meri tarha tamashbeen hai
dekhti hai sab,
aur badd jaati hai apne kaam par..
yaa
jismen khudd ke chehare adhoore se dikhaa karte hain,
yaa hai taptii huyii retilii zamii
jiss parr chalte hain ashqoon se bheege dill
parr jiskii pyaas bujhtii nahin hai,
yaa hai koi ghataa
jo khoon ki baarishh kartii hai,
yaa hai koi dulhan
jiskii mehndii ke liye jigar ke lahoo kii jarooratt hotii hai,
yaa hai
mukhautey
chehrey pr mukhautey lgaana hmen nhi aata...
ghamm hai agar to kaisey kahen k khushii hai yeh,
syaah ko doodh kehnaa hamen nhi aata...
baazaar h yeh duniyaa jahaan sb biktaa h,
ekk hm hain k khudd ki bolii lgaane hmen nhi aata...
baras rhe hain aansun uskii aankhon se ptaa hai hmen,
parr kyaa kren mann sachchey rishton mein jhooth milaana hmen nhi aata....