20141008

mere shabd

Lado
Do akshar
Beti har pita ki laadli hoti hai,aur fakhr bhi
Jo bin maange khushi bikherti hai
Saare ghar aangan mein
Apni totli jabaan se jab woh pita ko pukarti hai
Us waqt yun lgta hai
Jaise ek nirjhar behne lge
Jaise k saptsur kaan k parde par gire hon
shahad ki dali si meethi
Resham se bhi komal
Mere jeevan mein bhi hai aisi khushi
Yun to is safar ki shuruaat mere mann k kisi kone se huyi
aur shaayad hoti bhi hai,rishton ki shuruaat,kisi andhere kone se hi,jahaan bin paani,hawa,khaad k ek beej apni konpal kholta hai,rishtey ka beej,
phir us paudhey ko bda karne ki khaatir pyaar ka jal,sneh ki dhoop dena hoti hai,
par yahaan ulat tha,nanhe paudey ne krishkaay sharir waale maali ko jiski aankhen thakne lgi thi,aur aasmaa gehra hone lga tha,ko sambhaala,saheja,nav urzaa di,
maali nishabd sa tukoor tukoor takta raha,aur paudhaa is maali ki jis se uska koi rishtaa na tha,gar kuchh tha to ekk neh, bas usi rishtey ki dor thaame woh badhte rahe
kayi ekk dafa maali k bojh se komal paudha dagmagaya,kahi dafa maali ki chhaya ne suraj ki dhoop ko rokne ki koshish ki,par paudhey ne khud ko sthir karte huye,us maali ko bhi jeevan diya

No comments:

Post a Comment