Imaarat
Dekhi to hogi bante huye
Aksar raahon se guzarte huye
Dikh hi jaati hain banti huyi imaarten
Gaara,mitti,cement, ret aur saryion ko
Inch inch judte huye,upar uthte huye
Aur kuchh bhi hota hai kya
In imaaraton mein
Innton ko ret cement k mixture se jod k banti hain na yeh imaarten
Mazbooti ki khaatir kahin sariye bhi hote hain istemaal
Phir in deewaaron k upar concrete aur sariye se banaate hain chhat
phir diwaaren au unpe chhat
Are haan
In deewaaron me hote hain darwaaze au khidkiyaan
Taaki aati jaati rahe hawaayen au log bhi
Inhi imaaraton mein jo hote hain na
Flats
2bk,3bk
Rehte hain log,au unhin darwaazon se aate jaate hain
Tamaam rishte bhi rehte hain inhi mein
Aur jab aata hai ek bhukamp
Dol jaati hai dharti
tab kuchh imaaraton ki deewaaron se kuchhek innten sarkne lagti hain,daraar aa jaati hai
au phir ek ek kar intten girti hain
Au Imaarat bn jaati hai khandhar
Saare rishtey tab namaalum kis or chale jaate hain
shayad nyi imaraton ki or chal dete honge unko gulzar krne ki khaatir...
Yoon bhi hota hai kabhi kabhi
Dhahti huyi imaaraton mein chand log reh jaate hain
Dafan ho jaate hain
Apney sapnon k saath
Aisi hi ek Imaarat thi,kuchhek ssal pehle
Kisi ne bnaayi thi,bahut hi lagan se,
Apnon ki khaatir
Sajaaye the anginat khwaabon k taare
Uski chhat au deewaaron pe
aalmariyon mein sajaye the
Lamhon k moti se bane showpieces
Khoobsurat se
Ek raat yoon hua jaise pairon k neeche jameen hilii
saari Imaarat dhah gyi
Aur woh usi mein dab gya
Chikhta
Koi bhi to na tha
Kabhi kabhi mera guzrna hota hai us jagha se
Malba aaj bhi bikhra hai
Innton k beech dikhta hai ek kshat viksht jism bawle ka
No comments:
Post a Comment