Kabhi ganga ki dhara ne..
kabhi satlaj ki lehron ne..
kabhi purab ki hawaa ne..
kabhi pachhua pawan ne..
Kaha h har ek ne baat ek.. gungunaya har ek ne geet ek..
tum hi ho woh jis.se h aasha..
Tum hi ho jo badal sake hai paribhasha..
O nanhe pathik jeevan dagar k.. Hmne bhi kiya h safar.
himalaya se samandar ka..
Hmne bhi saamna kiya hai..
raah ki dushwariyon ka..
Paar kiya hai unko hmne muskurate..
Kasht to hai jeevan mein aate..
Yeh hi hamko aage badhna..
jeena sikhaate..
Hongi saari mushqilen asaan..
Bs kar lo irada..
mann mein lo thaan..
Jaana hai aage..
manzilen hain jahaan..
Chhuna hai amber ko tumhen....
No comments:
Post a Comment