20130606

Manzil ki or..


hai dagar tanik kathin..
tufaan bhi hai badi jor..
Hai thoda sehma sa dil...
shankit bhi hai..
Kuchh dhundhla sa...
andhera sa lagta hai chahu or...

magar tum ko hai jana aage abhi.. badhao kadam apni manzil ki or.. Maana ke hai raah mein kai dushwariyaan..
Mann ko hai khinche rishton ki dor..

Yakeen karo khud par..
mat ghabrao..
Yeh hain mehaz parchhaiyaan..
mat dekho us or..

Na padna kamjor tum raah ki aandhiyon se..
Milegi tum ko manzil tumhari..
Jahaan roshni hogi charo or.....

No comments:

Post a Comment