20111231

sirf main

jehan mein chalte jhanjhvaat,
jhanjhvaat mein uljhii zindagii,
zindagii jis mein hain anginat lamhe,
lamhe kuchh khushiyon ke,
chandd lamhe gamm ke bhi hain,
inn sab se judaa main,
main aur sirf main.

aksar

aksar raaten aur unke pal,
kaate nahin kat te mujhse,
meri apni yeh zindagii,
abb bojh si lagaa karti hai,
tammanna bas ek hi baaki hai,
ek hi aarzoo hai iss dil ki,
kisi aur ki zindagii na aisi beete,
kuchh kar ke jaun main unn sabhi ke liye,
mere chiraag ki lau bahut tezii se jal rahii hai aaj-kal,
pataa hai mujhko,
mera bhi waqt aa chuka hai.

20111229

ekk gunaah

ekk gunaah jo beeti raat hua mujhse,
uss gunaah par ab tak main sharminda hoon,
kisi ke chehre par muskuraahat aayi thi,
wajah main hi tha,
beeti raat woh muskuraahat chhin gayi us se,
wajah main hi tha,
kisi ko kuchh khushi ke pall diye the maine,
beeti raat us se sab chhin gaya uska,
beeti raat ekk deepak bujha kar ghar mein andhera kar diya maine.

aye zindagii

aye zindagii apni masroofiyat se chandd lamhe nikaal to meri bhi khaatir,
kya khuda ne mere hisse mein kyaa tanik si bhi zindagii na likhi hogi.

20111227

fark

zindagii jeena,
aur zindagii jeeye jana,
fark hai inn do lafzo mein,
ek purkhulus huaa karti hai,
mayne hua karte hain har lamhe ke,
ek bas ktati jati hai ya kaati jati hai,
har pal ek bojh jaise mehsoos hua karta hai.

siyasat

siyasat aur siysi chehre,
aam aadmi abb kahaan nazar aata hai,
talluk unka to abb bas voton se hai,
badhaal aam aadmi unhen kahaan nazar aata hai,
tarrakkii-e-hindustaan aur unke numaeinde,
dard aam aadmi ka unhen kahaan nazar aata hai,
abb woh sochten hain lagayen soch par paheraa,
woh khud kyaa sochte hain kyaa unhen nazar aata hai?

20111225

soch meri

kai baar ye paaya hai,
k soch meri sochti bahut hai,
kabhii iski,
kabhii uski,
har waqt bas socha hi karti hai,
iski soch kab khud ko sochegi,
ye main aksar sochta hoon.

dariyaa aur zindagii

dariyaa jaisi zindagii,
zindagii ki tarha dariyaa,
kabhi bilkul shant si,
bas behti rahti hai,
par barsaat ke waqt pure ufaan par hoti hai,
tod deti hai saare kinaare,
bahaa le jaati hai sab kuchh.

20111223

aadat

utari kyunn shakl unki meri baaton se,
maine to bas unhen aaina dikhaya tha,
gar apna hi chehraa unhen pasand nahin to kyaa,
hamen to sach hi kahne ki aadat si hai.

yaadon ke mausam

bheega sa lehzaa,
namm si aankhen,
teri yaadon ke mausam,
woh purkhulus raaten,
woh befikrii bhare din,
abb pahle jaise na rahe subah-o-shaam apne,
par jehann ki dar-o-deewaron par teri yaaden aaj bhi hain.

20111222

Aawara si zindagii

Aawara si zindagii,
chalti hai jaise,
hawaa chalaa karti hai,
ham uske saath chalte jaate hain,
bas yunhi,
nikale to hain safar mein ham zindagii ke saath,
manzil ki khabar nahin hai,
firte hain bas yunhi,
kai log is safar mein milte rahe,
baaten huyin,
unhen talaash thi zindagii ki,
kya kehta unse?
kuchh na kahaa hamne,
yeh soch kar shaayad,
unhen kisi aur zindagii ki talaash hai,
aksar meri raaten zindagii ke saath jaagte beeti.

20111219

kasak

tumhari smriti ki kasak,
meri tadapti chetna,
aag virah ki,
chhubhti moun peedha,
vattha ke swar,
soona mera hriday,
shoolon se lagte phool,
amaavas sadrishay jeevan,
kutil niyti,
bekall hriday,
he mrityu dev,
mere jeevan mein atithii bann ke aate tum.

20111217

talaash

talaash meri,
jaane kab khatm hogi?
bhatkan meri le jaati hai,
ajnabii dunia mein,
lagta hai k main ekk lamhaa hoon,
jo waqt se bichhad gya hai shaayad,
waqt to nikal gya aage,
main firtaa hoon,
ussi ki talaash mein shaayad,
ekk rooh ki tarhaa,
jo kisi jismm se nikal,
bhatakti hai naye jismm ki talaash mein,
ekk naye gharr ki talaash mein,
main bhi bhatakta firta hoon.

20111214

main

aaj puchhaa zindagii ne mujhse,
sarapaa kyunn chhaya hai tere vazood par,
na jaane kyunn sabhii ko lagta hai,
k main ekk shakhas gamzada sa hoon?
aaj to zindagii ne bhi puchh dala ye sawaal,
kya doon jawaab is sawaal ka?
haan,
yeh sach hai k main khud mein khoya rahta hoon,
par gamzada shakhas main hargiz nahin hoon.

20111212

rishte ki kirchen

aaj uss rishte ki kirchen,
aankhon mein chhubh rahii hain,
subah se hi,
woh ekk rishtaa,
jo dil ke behadd karib tha kabhii,
woh lamhaat,
jabb toota iss rishte ka kaanch,
meri rooh ko takleef hai tabbse hi,
kuchh jalann si mehsoos hoti hai,
dil ke ehsaas mein abhi tak...

20111210

janazaa

khwahishon ka janazaa uthaye firtii hai,
woh muhabbat ki maut ke baad,
badgumanii kisii ki,
usse zindagii se maut ki ore le jaati hai

20111208

aazmaish

aazmaish-e-zindagii,
kyun leti hai imtehaan apna,
zindagii inteha ke hadd tak,
hum to aye zindagii,
jeena bhi bhool chuke hain,
bhool chuke hain har lamhaa beete waqt ka,
jo beett chuke hain,
jo laut ke phirr na aayenge,
apne ehsaas ka woh hissa,
jis mein zindagii raha karti thi kabhii,
uss hisse ko taala laga dia hai hamne.

20111207

aakhiri mulaqaat

raah chalte yaad aaya,
apne kamre mein kuchh bhool aaya hoon main shaayad,
waapas aaya to paaya,
tumhari berukhi kal se mez par rakhhi padi hai,
sochaa ek pal baith kar,
ye hi lauta doon tumhe,
phir khayaal aaya,
tumhaare saath beete pall,
meethi kuchh khatti yaaden,
chandd baaten,
tumhaara khud ka kaada rumaal,
woh ek surkhh gulaab,
jo tumne diya tha hamaari teesri mulaqaat ke waqt,
sukhh chuka hai jo apne rishte ke mafiq,
ye sab bhi to rakhhe huyen hain meri daraaz mein,
jab tum hi na rahe meri zindagii mein,
ham mein jab koi rishtaa hi na rahaa,
to inn sab ka kya karunga main,
apni aakhiri mulaqaat mein inki potli tumhen bhentt karoon,
aur mita doon unn ashayaron ko jo maine kabhii tumhare khaatir likhe the.

20111203

usne kaha tha

sabhi khojte hain jise devalayon mein,
usi ne to kaha tha kabhi,
main insanon mein milta hoon sada,
main bhi use hi khojta hoon,
is duniya mein,
mujhko magar koi insaan nahin mila abhi tak,
sabhi to lagte hain mashini maanav,
bas fark itna hai ke inke seenon mein dil dharakta sa hai.

20111202

tumhara astitav

kaise yakeen karoon tumhen,
tumhare astitav ko,
bachpan se abb takk dekhta aa raha,
roz hi na jaane kitna dhuwaan,
ghee ke deep, annginat phool malayen,
haldi aur naa jaane kyaa kyaa,
raah guzarte anekon sheesh jhuk jaate hain,
par tum vaise hi khadde ho butt ki tarha,
kya tumhen kuchh mehsoos nahin hota,
koyi spandann nahi kya seene mein,
barson beet gaye,
maa aaj bhi aati hai nitt prati tumhare dwaar,
par tumhe uski awaaz sunayi nahin deti,
kuchh to aisa karo ke lage tum ho,
tumhara astitav hai is dharaa par.

20111201

pichhli raat

pichhli raat meri neend toot gayi thi,
svapn adhuraa hi reh gayaa,
aaj woh adhuraa toota sa svapn,
mere bheetar ke sannaton ko cheer raha hai,
main unhen hi kaagaz par utaar raha hoon,
aur mere antarr ka shorr mujhe vaythit kiye ja raha hai,
kuch antaraal mein yeh maddham ho jayega,
reh jayengi bas meri aankhen,
jinme kuchh raaton tak neend nahi aayegi.

yaadon ki kitaab

yaadon ki kitaab mein na jaane kitne hi khwaab hain,
khwaab jo dil ke shaher ke musafir hain,
aate hain dabe paanv,
bina awaaz ke,
unn sabhi khwaabon ko sajaa rakhha hai maine apni kitaab mein,
jab bhi zindagii mein,
jeene ki wajha nahin milti,
khol leta hoon apni yeh kitaab,
aur yeh khwaab mere chehre par muskurahat la dete hain.