Ek tha kisaan
Kisi chhotey se gaanv mein
Ekk chhoti si jhopdi thi
Tha bahut hi dhaarmik
Magar
Aksar uski fasal kharaab ho jaati
Kabhi suraj ki tapish se
To kabhi baadh ki wazhaa se
Kabhi oley girne k kaaran
Kisaan bahut paresaan
Pahucha bhawaan k paas
Bola
Prabhuuu,aap ishwar hain,pr lgta hai k aapko kheti ki maalumaat ni,aap ek saal mauka dijiye k main jaisa chaahun waisa mausam ho,tab dekhiyega,
Bhagwaan bole
Jaisi teri ichchhaa,
Kisaan ne fasal boyi
Phir
Jab woh chaahta dhoop hoti
Paani barsta
Oley,baadh,tufaan,usney hone hi ni diye
Fasal badh rahi thi
Aur saath kisaan ki khushi bhi
Aakhir
Fasal kaatne ka samayy bhi aa gya
Kisaan khushi mann se kheton ko panhuchaa
Par jaise hi usne haath mein baaliyaan li
Ufffff
Andar to beej hi na the
Bahut dukhi hua
Bhagwaan se bola
Prabhuu,yeh kyaa hai
Bhagwaan bole
Yeh to hona tha,tumne paudhon ko sangharsh ka mauka hi ni diya,
Na tez dhoop mein woh tape
Na aandhi se jujhey
To yeh bas badhte gye
Aur andar se khokhle reh gye
Aandhi,baarish,oley,insey jujhtey huye paudha shangharsh krta hai,yehi usko shakti detaa hai....