20141122

Aaj kal

Mehsoos krta hoon tumhen
Antar mein
Naa jaane kyun
Haan
Pta hai mujhe achhi trha
Tum nhi likhi mere haathon ki lakeeron mein
Phir bhi
Yeh mann
Mehsoos krta hai
Tumhen
Tumhaari kilkaariyon ko
Mann k bheetar k patal par
Tumhen chalte,sambhlte dekhta hoon
Pehle is patal pe main bhi hota tha sang tumhaare
Magar iin dinon
Tumhen bas tumhen hi dekhta hoon
Apney aas paas k maahaul se jujhte
Apna raasta khud bnaate
Kabhi thaki thaki si lgti ho
Us wqt jab tumhen dhandhas badhaane k waaste haath badhaata hoon
Ojhal ho jaati ho
Na jaane kidhar
Mann mein aksar yeh hota hai

Ummiden aur aansu

Aansu
Ummiden
Bada gehra rishtaa hai donon mein
Ummiden hi kaaran hain aansuon k
Palkon k giile hone ki wazhaa hain ummiden
Ummidon k beez panapte hain rishton ki mitti mein
Aur konpal foot te hain
Phir yunhi
Anaayaas hi
Bewazhaa ya kisi wazhaa k kaaran
Toot jaati hain ummiden
Jhadne lgte hain pattey
Aur
Aansu ki wazhaa bnte hain