Kuchh din huye
Yunhi bhatkta fir rha tha
Galaxy ki kandraon mein
Bewjha besabab
Lakhon sitarey ulkayen ghrah apni hi dhun mein magan gardish kr rhe the
Har ek ki juda thi chaal
Har ek apney hi sur mein tha
Bahut durr nikal gya tha
Chalte chalte
Charon or thi ghani nistbdhta
Bs khamoshi baaten krti mujhse
Achank
E
Yunhi ekk pagdandi ki or muda
Pagdandi jo shukra ki gali ki or nikalti thi
Kuchh nishaan dikhey
Nishaan kadamon k
Badh chala unhi kadamon k nishaan k peeche peeche
Aur
Ja pahuncha
Uss jgha
Jahaan pr chaandni thi
Ekk saaye k jaisa koi tha wahaan
Dhund bhi thi
Saaf nhi thi nazar
So dekh na saka
Aur tbi
Side mein rakhe mobile se beep ki aawaz aayi
Alarm baj utha tha
Subha ho gyi thi
Khawaabon k darichey se
Main waapas aa chuka tha
Mgar
Mann mein ekk khwaahish rh gyi thi
Kiska tha woh saaya
Jo meri trha
Bhatak rha tha
Un pagdandiyon pr
Khair
Shaayad phir kbi niklunga jo us taraf
Pta lag hi jayega