20120309

kaash

har beetta lamhaa
har gujartae pall
kuchh judta hai kuchh bichharta hai jeevan mein
kuchh ehsaas
kuchh sapney
kuchh waade
kuchh apney
mann mein har pall chalta rahta hai kuchh
kuchh jaana samajha
kuchh anjaana
abujh paheli sa
jeevan ka yahii niyam hai
sadiyon se
na jaane kabse
yunhi chal rahta hai
mann
naa chahte huye
koi bandish nahi maanta
naa koi dorr rok pati hai isko
kaash
bhaavnayen naa hotii
kaash
yeh jo dhadkta hai patthar ka hota

sapney

sooni ankhen,
unn ankhon ke sapne,
sapnon ki tutan,
ansoon ki baarish,
baarish mein dooba mann,
mann ko dilasa dena,
phir sapne dekhna,
phir wahi kram,
wahi sab kuchh,
zindagii tamaam ho jati hai,
par sapne jas ke tas,
bas ankhen badal lete hain sapne,
naya basera dhoodh lete hain sapne...