20130622

Sapney..glass jaise

Sapney.. glass jaise kaanch ka ho.. Kbhi haath se chhut jaate hain Almaari se nikaaltey wqtt mann ki... Dhone,sanwarney mein fisal jaate.. Aur chaknaachoor ho jaate.. Ekk aadh dukh ki garam chaay nhi sah paate.. Chanak jaate hain... Kuchh ekk wqtt k haath k dabaav mein chitak jaaya krte hain.. Kbhi farsh par vastviktaa ki gir kr mar jaate hain... Kuchh bhi ho.. Toot.tey hain... Naye puraney, chhote badey, sbhii... Phir.. Haathon se bator kr.. Sahej kr unn kirchon ko.. Yaadon ki andherii galiyon mein phenk aate hain... Batorney mein kbhi kuchh ekk kirchen chubh bhi jaati hain... Aur unki kasak.. Rulaati hai der tk.....

gumm jaati hain....

Woh asmaa k ekk kone mein kuchh khwaab band hain.. Hwaa ki lehron par kuchh aarzooyen raks krti hain.. Aur neechey aakr pedon k peeley pattey bnkr dharti par dhaarashaayi ho jaati hain.. Tammanaon k saagar ki chandd bunden aankhon ki jheelon se tap tap krti gumm jaati hain....

wqtt k saath

Wqtt k saath chalte huye dur talak.. Khwaabon ki pagdandi pr jeb jo jhaadi... Aansu ki kuchh bundon k siwaay kuchh bhi to na thaa....

suraj shaam ka

Bujhta ja rha hai suraj shaam ka.. Koi ho jo roshan kre kamrey k diye ko...

chaahta hoon

Ekk hi amal.. Ekk wohi khwaab.. Badalna chaahta hoon canvas main apna...

anzaam

INn nigaahon ne sanjoye the chandd khwaab..mom k putlon jaise... Haqeekat ki dhoop mein pighal gye saare... Khwaabon ka anzaam aksar yehi hota hai...

na jaane kya

Naa jaane kya darkaar hai zindgii ko mujhse... Kambkhatt jwaab nhi deti.. Sawaal puchhe jaati hai.

sadak

Ghar k saamne se gujarti hai jo siyah sadak.. jaane pehchaane magar ajnabi kuchh chehrey gujartey hain us se...

khidki

Mere kamrey ki khidki se jhaankta hai ekk tukdaa asmaa ka.. Raat k wqtt sitaare bhi ghumaa krte hain khidki k gird...

woh

Naa jaane kaise mere dil k jazbon ko jaan leta hai woh.. Nigaahon se mann mein jhankne ka fun shaayad jaanta hai woh...

chahta hoon

Palken jhapkaata hoon.. Sochon ko jhatak dena chahta hoon.. Badi begairat hain.. Bin bulaye hi aa jaati hain...