20140317

Beeti holi

Woh
Jo umadta hai
Mann ki gehraiyon mein

Par

Paar nahi kar paata
Chauhaddi deh ki

Hai koi hasrat
Jo bhar deti hai
Haraarat se mann ko

Angdayi leta hai
Mauasam mann ka

Yaad aata hai
Beeta waqt

Saalti hai
Yaad kisi apney ki

Holi yaad aati hai
Beeti hui

Nayi holi

Ab koi nhi khadkata door
Na
Koi dost chup k
Karta Rangon ki bauchhar na
Halla huriyaaron ke
Ab kaan ko sunaayi dete na
Rang bhare haathon se
Koi ab jakdta na

Sajaa k dhar dete hain
Gulaal tashtari mein
Fiqr hoti hai
Anchhuyi na reh jaaye

Ab nahi aati pados se
Gujiya talne ki khushboo
Sab readymade hi aa jaata hai

Ab fursat kahaan kisi ko
Holi dehan k waastey
Bas AC caron mein bachchon ko bitha
Dikha dete hain

Lgta hai
Koi tyohar nahi
Museum mein rakhi koi cheez hai
Jo bas dekhne ki khaatir hai

Shaayad
Soch kund pad gyi hai

Akhir
Budda bhi ho chala hoon