20120730

kamra

bahutt haseen,bahutt dilkash thi kamre ki khaamoshi...
do ankhen meri thi,do teri baat karti huyi...

azmayish

yeh kaisi azmayish h mere rab,
woh shakhs paas hokar b paas nhi hota...

naseeb

na kaho badnaseeb is.e tum
kya pta hmko naseeb mein iske kya likha hai

talaab

talkh yaadon k taalab mein pat.thar na phenk..
tujhe kuchh na milega sivaay uski baaton k

jaane kya

guzar rahi thi khushhaal aur pursukun zindgii..
na jaane kya baat huyi..
kaisi hawaa chali..
khudd.b.khudd bikhar rahe hain
hausley rett ki tarhaa..
dhah raha hoon main yunn k jaisey
kachchi mit.ti ki deewar dhahti hai
meri imaarat ka sahaara...
sarmaaya zindgii ka
lutt gaya waqt k haathon...

ehsaas

ek ehsaas tha uski ankhon mein
apnaiyat aur muhbbat ka...
badltey waqt k saath khaamoshi se
badal gayi nigaahen uski bhi...

chot

badi mushkil se jodaa h khudd ko...
choor kar degi zaraa chot bhi usko...

muhabbat

aansoo dekhkar ankhon ki jo ho gayi muhabbat..
tanhai k kis mod par khadi h wahi muhabbat...
ruswai saare jahaan ki li thi jiski khaatir
usi k badaulat hai khaali daaman,la-hasil muhabbat....

badla

kyun leta hai har ek se apni marhumiyon ka badla..
har shakhs tujhey uss jaisa hi nazar kyun aata hai...

raftaar

woh aur zamaane the
jab dil k kahe par chalte the log..
tez raftaar duniya mein munh k bal girne ka khatra hota hai...

nazren

jadd hoti hain tabaahi ki nazren hi
inki badaulat hi jaagti hain khwaahishen,
khaak zami kh lgti h zami par hi behtr...
barbaadi ki nishan hoti hai jo khaak sar chad jaye.

khidmat

karam hai tera jo tune zindgii sanvaari is nachiz ki...
teri khidmat mein guzaarun zindgii
ab zindgii ka yeh hi socha hai.....

deewar

hain jahaan mein kuchh aise bhi naseeb.waale
ghar ki chamkti deewaaron ko hi dekh k khush ho lete hain...

mehfil

yeh kaun si mehfil hai waqt ki...
khushi bhi adhuri hai gum bhi adhura.

rehmat

phir jhuka hoon teri rehmato k saaye ki khaatir...
meri dunia par daal de khushiyon ki chaadar mere maula