jeevan ki raah hai badi kathin,
iskii raahen hain tapti huyi,
na milenge iss mein nadiyan jharne,
na milegii iss mein saawan hariyalii,
hai bahut kathin phir bhii,
jo aaya hai iss raah mein,
iss se hokar usse jaana hoga,
iss raah ki koi waapasi nahin...
20120227
jeevan
main
main swayam k charo ore pata hoon ek chaadarr,
mere sanskaron ka,
jo mujhe bachaye rakhta hai,
mahabhat k karann ko uska kavach jaise bachata tha,
iske andar swaym ko surakshit sa pata hoon,
parr bhayy sa lagaa karta hai,
kahin se samayy vesh badal kar aaye,
maang le yeh chadarr,
mujhe dena hi hogaa usko apnaa yeh kawach,
aur badalte samaaj k nukeele teeron se chhalni hona hoga...
ekakii
ekakipan,
yeh shabd nahin ekk kosh hai yaadon ka,
isi ekakipan mein ham jab paate hain swaym ko akela,
kholte hain yaadon ki pitari,
aur lag jata hai mela,
mele mein kahaan koi rah paata hai akelaa,
bas jeevan mein yahi ekkatra karte hain ham matra yaaden,
yahi hamare ekaant ki saathi hain,
ekk waqt wah bhi aayega,
jab jeevan meraa jayega tham,
tab yeh yaaden hi rahh jayengii...
o chaand
tumhen dekh kar kisi ko yaad aate hain beete lamhaat,
beete huye pall,
par jab bhi maine tumhen dekha hai,
paaya hai tujhe vaise hi aviral,aviram,
chalte rahte ho raat bhar,
aur dikhate ho raat ke musafir ko raah,
par main sochtaa hoon k tumko andhere mein raasta dikhata kaun hai?
dekhte huye tumko aur sochte huye chha jaati hai mujh par neend ki chaadar,
swapn mein hardam mujhko tum mein nazarr aati hai maa...
woh shakhs
raah-e-safar mein mila ek shakhas,
baitha tha bus ki bayin taraf khidki wali seat par,
jardd sa chehraa,
udaasi bhari aankhen,
sukhe sabz honth,
dhool se sani thi deh, kapde bhi the dhool se sane,
uske bagal ki seat khali thi,
main ja baitha uss seat par,
safar shuru hua,
kuchh waqt beeta,
woh bus baahar khidki se dekhe ja rahaa tha,
maine chuppi todi aur puchha uss se,
kahaan tak jaana hai?
uski ore se koi jawaab na aaya,
na jaane kahaan khoya tha,
na jaane kis khayaal mein gumm tha,
ya meri awaaz hi na suni ussne,
bus woh dekh rahaa tha apalak baahar ek tathasth sa,
mann mein aaya kahin woh mook to nahin chehre se to aisa jaahir nahin hota tha,
ghante dhedh ghante baad mera gantavy aaya,
jahaan mujhko jaana tha,
main utarne ko taiyaar hua,
peeche dekha woh bhi khada tha,
shaayad usko bhi yahin tak aana tha,
ham utre ek saath,
main aage badh gaya,
na jaane kyon pichhe muda,
dekha woh apni khayaalon mein dooba chala ja raha tha.
soch
shabnam ki katron k jaisa sheetal,
barsa karta hai bas tumhare liye,
bhavana mein bhar kar kabhii-kabhii lahron ki tarhaa ufaan par aa jataa hai,
ubharta hai aur bikhar jata hai,
khudd hi takraa kar apne hi kinaaro se,
antt mein shaant padd jata hai saagar ki tarha,
mera sneh tumhare llye...
kyun nitt main yahi sochta hoon..
main
mere sanskaron ka,
jo mujhe bachaye rakhta hai,
mahabhat k karann ko uska kavach jaise bachata tha,
iske andar swaym ko surakshit sa pata hoon,
parr bhayy sa lagaa karta hai,
kahin se samayy vesh badal kar aaye,
maang le yeh chadarr,
mujhe dena hi hogaa usko apnaa yeh kawach,
aur badalte samaaj k nukeele teeron se chhalni hona hoga...