Raaton mein aksar
Nikal jaata hoon
Pichey waali raah se
Jo le jaati hai mujhe
Door
Bahut door
Is khala se
Is qaaynaat se hazaaron light years ki doori par
Jahaan janglaat hain
Jo saaya dete hain
Usi mein kisi ek darakt k saaye tale
Khol k potli apni
Dekhta hoon apne maal asbaab
Dhundhta hoon
Koi sitaara mand to nhi hua
Phir,ehsaas ki tudi mudi si dairy k pannon ko dekhta hoon
Beetey kal ki siyaahi ne
Kuchh lakiren kheenchi hain
Unhin ko sanjota hoon
Ekk albam bhi hai
Usi potli mein
Usmen bolti tasweeren hain
Unhin se kuchh baaten krta hoon
Phir
Neela taara aa jaata hai
Asmaa par
Bataata hai
Wqt ho gya
Waapsi ka