20140731

Hansi tumhaari

Pooja ki thaal mein jale diya
waisi hi hansi tumhaari

Taptey jhulsate retili maru mein hawa ka jhonka
waisi hi hansi tumhaari

Andherey aakaash mein druvtaara
waisi hi hansi tumhaari

Dariya mein behti lehren
waisi hi hansi tumhaari

Galaxy ka kona kucha chhaani
par na mili jaisi hansi tumhaari

Jarzar hote mere jeevan mein
Nav urjaa bharti hansi tumhaari

No comments:

Post a Comment