20130611

अहमियत

अपनी अना का असीर हूँ मैं , बिना इसके मेरी अहमियत क्या है

क्यूँ

खुशबू हो, गुल हो, महका करो बगिया में कुछ नहीं है बाकी यहाँ, इन वीरानियोँ में क्यूँ फिरते हो

आज साल हो गया

बड़ा अजीब लगा तुम्हारी बाबत सुनकर
कि तुम्हेँ अब भी अंधेरी रातेँ रुलाती हैं
वो इक शख्स,
वो इक रिश्ता
जो तुम्हेँ चुभोता था नश्तर
रुलाते थे जिसके अल्फाज.
उसको गुजरे आज एक साल हो गया

ishq hai na..

Do jismon ka ekk dusre k andheron mein gote khaana.. Ekk wqtii bhookh.. Jism ki bhookh.. Kehte hain k ishq jism ka bhookhaa nhi hota.. To mehbooba ki ekk naa se duri kyun aa jaati hai.. Kyunn nazron se chal kr nigaahen naapti hain jism ko.. Jism k bhugol ko.. Jism k utaar chadaav ko.. Pahaadon aur ghaatiyon ko.. Inki chaah hi ishq hai na.. Inhi mein doobna utraana ishq hai na.. Kampkapaatey haathon se naapna jism ko ishq ki intehaa hai.. Larjrte thartharaate laal doron se bhare ankhon ko tkna ishq hai na.. Bhookhey jism ki banaavat par garm hothon ka chumban.. Akdnaa do pal ka.. Phir dher ho jaana ishq hai na.. Ishq.. Yehi hai ishq aaj.. Jism ki bhookh ka dusraa naam.....

Chaahat... Ekk chemical locha..

Chaahat... Ekk chemical locha.. Jawaan dilon mein aksar ho jaata hai.. Jb bachpanaa chhut.ta hai.. Aur youvan kadam rakhta hai jindgi mein.. Aksar ho jaata hai.. Koi do baaten kehta hai kuchh alag si.. Apni chaahat sa lgne lgta hai.. Koi dukh mein haath par haath rakhta hai.. Apna sa lgne lgta hai.. Aur dukh bhi kaisa.. Khud hi bnaya woh gharonda ret ka.. Aur jaante bujhte huye bhi.. K woh toot jayegaa.. Banaatey hain sheesh mahal.. Sochte hain toot na jaaye.. Dukhi hote hain.. Toot jaata hai to dukhi hote hain.. Dukh koi deta nhi.. Hm khud hi bnaate hain.. Lafzon se.. Sapnon se.. Ummidon se.. Aksar ret k gharodey bnaate hain, bigaadte hain.. Raaton ko neend nhi aati.. Koi anjaana sa aa jaata hai.. Khayaalon mein.. Jagaaye rakhta hai.. Chaahat... Ekk chemical locha.. Jawaan dilon mein aksar ho jaata hai..

woh khwaab phir na aaye

Khwaab tha shaayad.. Khwaab hi hogaa.. Meri garm ungliyon k lams aur uske dahaktey rukhsaar.. Woh ekk chhuan mere haathon ki uski nangi peeth par.. Woh uska tadap kar, bechain ho kar palatna.. Phir laal doron se bhari aankhon se uska mujh ko takna.. Woh thartharaatey, kaamptey honth pyaaji se.. Mere honthon se milna besakhtaa.. Lgta tha yoon k jaise jism ki aanch se pighal rhi h qaaynaat saari.. Kyaa yeh muhbbat thi.. Woh paanch harfi lafz.. Jiske sbhi deewaane hain.. Sbhi jiska naam rat.te hain.. Ya woh bhookh thi.. Jism ki bhookh.. Jise hmne muhbbat naam de daala.. Nhi woh khwaab hi tha.. Ekk buraa khwaab.. Kaash woh khwaab phir na aaye....