cigarette aur zindagi, jis tarha kash dar kash chhotii hoti jati cigarette, thik usi tarha zindagi bhi chhoti hoti jati hai, har kash ke baad muhh se nikla dhuaan gumm ho jataa hai aakash mein, thik usi tarhaa zindagii ka har beeta lamhaa kho jataa hai anant mein, cigarette mein jo dikhti hai raktim aabhaa, thik usi tarhaa zindagii mein vartmaan bhi hotaa hai taptaa hua, cigarette khatmm hone par jaise bach jati hai raakh, thik usii tarhaa zindagii jabb khatmm hoti hai to chhor jaati hai yaaden bas yaaden.
20111124
Tanhaa
tu nahin hai, par teri yaaden, har pal-chhin saath rahtii hain, merii nazaren har waqt terii hi talaash kartii hain, pataa hai mujhko mere hamsaaye, tu mera abb na rahaa, ham mein jo ek rishte jaisa tha, dor uski toot chukii hai, raaste bhii hamne apne badal diye hain hamne, tujhko terii khushiyon ka jahaan mil gaya hai shayad, maine socha hai ke abb yuhin basar karoon zindagii tanhaa.
zindagii
pall bhar ki derii ho jatii hai, aur ojhall ho jatii hai, kab milegii, milegii kahaan, pataa nahin ye, bas khojta phirtaa hoon, yun to kayi baar lagtaa hai unn chanaron ke beech chipii ho shaayad, kabhii jharnon kii aawaz sunkar lagtaa hai, jaise bulaa rahii ho mujhko, jab sardiyon mein aas-pass kohre ki ghanii chaadar hoti hai, mahsoos kiya ke woh mujhe chhuke guzari hai jaise, aksar suntaa hoon logon se, door pahadon ki waadiyon mein pukaartii bhataktii phirtii hai, aakash ke parindon se askar uskii sadaayen aati hain, yun hi mere saath hokar bhii nahiin hotii ye meri zindagii, aaj bhii main talash kartaa hoon iski duniyaa ke sannate mein.
aa chalen
iss pattharon ki bastii mein teraa guzaara kaise ho, patthar ke to hriday hi nahin, tu alag sa hai, yeh basti, yeh patthar tujhko nahi jeene denge, teri har baat par, har soch par, jahan wale taana denge, tu kya kar saktaa hai? bas chal meri ungli pakad le, aa donon chalen, aisi duniyaa mein jahaan tere ehsaas ko koi to samjhe, aa chal donon chalen, jahaan dil ke rishton par koi taana na de, aa chal ke ek alag si duniyaa khojen, jahaan ham jaise kuchh aur milen, ye duniyaa to bas duniyaa hai, aa chal donon hi yeh duniyaa chhor chalen.
Subscribe to:
Posts (Atom)