20111123

kiskaa lahoo

galii mein bikharaa hai lahoo jahaan tahaan, hai kiskaa lahoo ye, kya khuda ne iske liye hi insaan banaya tha, aaj insaan ko dekh kar khuda, khud hi lahoo ke aansoo rotaa hoga, aur sochtaa hoga, kya soch kar maine insaan banaya tha, usko to maine diya tha dil, jismen maine daale the jazbaat, to kya woh dil ab patthar ka ho gayaa, woh saare jazbaat kahaan gumm ho gaye, aaj khuda bhi shaayad khud par sharmsaar hogaa.

begana shahar

khwaab se bhari nazaron walaa, hai beganaa yeh apnaa shahar, kuchh khushiyan hain, kai hai gam, yahan mere apne bhi hain, kuchh paraaye bhi rahte hain yahaan, kuchh-ek palken bhigi-bhigi si, kuchh aankhon mein tairtye hain sapne, hai kuchh dil doobe andheron mein, kai-ek aankhon mein beeta waqt dikhayi detaa hai, kai-ek apne hi kandhon par apne hi armaanon ki arthi uthaye phirte hain, kuchh aisa hai meraa ye beganaa shahar.

mere jaise

akelaa hi bhatktaa phirtaa hoon binaa wajah main, meri nigaah naa jaane kyaa talaash karti hai, shahar ki bhiddh mein anek chehre, kuchh jaane se, kuchh pehchaane se lagte hain, kai to lagtaa hai jaise beete waqt ke dost hain, sabhi ki aankhon mein ek talaash si dikhti hai, har ek shakhs kisi talaash mein bhatktaa hai, mujhe mere shahar wale apne jaise hi lagte hain.