20130607
coz
aa chalen
samet loon
aaja ri nindia
Aaja ri nindia...
udan khatole pr le kr k ja...
nanhi pari ko....
leja dur sapno ki dunia mein...
khushi jahaan udti ho titliyon k jaisi...
hansi mehke jahaan hwa k sang...
le ja gudia ko aise jaha mein...phoolo ka jhoola ho...
thandi pawan ho behti...
na ho koi gam k jahaan baadal...
le ja ri nindia bitia ko aise jahaan mein.......
bitia meri
Ankhon ka tara..
mera sahara..
hai nanhi si abi..
dekhe jag sara...
thami h abi to ungli meri...
h ye to shobha jha ki...
thodi si natkhat h..
thodi si buddu..
ye h meri bitia rani....
manushya hai???
Pujte pujte paashan shilaa ko..
svaym ho gya prastar..
aata ab koi bhav nhi antar mein,smbhavtah jam gyi hain... anibhutiyan..
barf ki tarha...
shesh h shikhar tk jaane ki mahtvakanksha....
shikhar...
jiska koi gagan nhi...
bs badha ja rha h marichika ki khoj mein...
jaane woh surya kb udit hoga...
jo is pratima ko pighla sakega...
aur de sakega itna taap..
k svayam ka spandan jaan rake....
pta lage k woh ek manushya h.....
to kya
umar
Umar ki ginti badhti hai,
jaati hai umar ghat ti..
Hm bewajhaa hua krte hai pareshaa..
Yeh to har ekk k saath hua krta hai.. Hoti hai chah k kaash koi to apna hota..
Thaam k ungli jiski hm keh dete mann apna...
Hm talaash krte hain jiski..
yahaan wahaan na jaane kahaan kahaan..
woh baahen pasaare hamaara intzaar krte milta hai...
darwaaze par ghar ki...
apna
dhundne se jo milta h..
kya woh sach me apna hota h..
hmko to h lgta k woh bs sapna hota h..
ankhon me h ata..
kuch hansi se khwab he sajata..
aur fir...
kuch pal k baad....
palkon se h beh jata...
khair jo b ho...
dhundo...
shaayad apko mil jaye..
dil ka kamal khil jaye..
rahe woh hamesha hi sang..
kbi na ho dil ki raah tang....
maa
aaja ri
Aaja ri nindia....
le chal meri gudia ko sang apne...
le ja desh chnda k..
.
mila isko sitaro se...
khele ankh micholi bitia or sitaro ki toli...
aur fir so jaye pa ki godi mein..
wqt
wqt k paas hote gar..
ankhen..
ahsaas.o.dil..
to woh wqt na hota..
insaa hota..
chhor...
ab bs kr...
dunia mein laut aa...
ideal kirdaar to kisso mein mila krte hain....
yun udaas ni hote
Yun udaas ni hote..
mann ka vishwaas hain khote..maana raah h bhari dushwaariyon k kaanton se...
mgr ankhon ko ansu se nhi bhigote...
parchhaiyan
kaise samjhun
na ansu sch.che hain..
na muskaan sch.chi hai...
saari dunia h chalti jhooth k sahaare..
bs yehi ek baat sach.chi h..
jo kehte the..
k tum ho to jeevan h...
unko jhooth mein sane dekha...
main kaise keh doon..
k unke bol sach.che hain...
aaj har ek rishtaa h jhooth se chalta...
main kis trha samjhoon...
k woh jazbaat sach.che hain...
o.......
O chaand desh me rehne wali.. pariyon jaisi dikhne wali..
dekh jra gudia ki manmaani..
kahta hoon chal so ja..
usko jid h k sunao na ek kahaani.. jaise jaise woh hoti h bdi..
Badhti jati uski shaitaani..
Daant ta hoon..
Daraata b hoon..
par kehna mera na maane..
Ab tum hi aa jao isko samjhane.. manti h yeh tumhara kahna..
Pari maa aao na..
Apne madhur sur me ek lori sunao na..
Le lo isko apni chhanv mein..
Meri Is laadli ko sulao na..
panchhi
Subha ka nikla panchhi..
lauta ghar apne..
thaka hua..
kal k buney kai khwaab..
aaj sach se mile..
sach mein dhale..
hain thode se shesh..
unhen swaren..
aur buney kuchh aur khwaab..
chalo thoda tan ko aaram den..
mann ko khula chhor den..
swpan bun.ne ki khaatir..
chalo so jayen...
jana ri nindia...
Jana ri nindia..
ankhon mein gudia ki..
sang tu le jana sapney..
ankhon ki gudia ki..
o ri pawan...
jana desh bitia k..
sang tu le jana khushboo di ki baaton ki..
o ri pawan...
haule se thapki dena..
tu le ke use apni godi mein..
sunana use lori..
aur kehna...
k rakhe woh apni sudh..
Aur kehna..
rakhe khayaal..
hm sb hain uske sang...
Nindiya tu rakhna khayaal..
na krna usko udas..
o re chaand..
gudia ko tu kehna...
rakhe woh khud par viswaas..
suraj tum dheeraj dena..
aur kehna..
aayega ekk din prakash..
roshan hogi dunia sari..
khushiyan b milengi dher saari..
talaash
meri gudia
maa
prarthna
aao khuchh khwaab bun nte hain
sda
Jyoti jale sada jeevan mein..
aashish ki chhat sadaiv sang ho..
baarish barse maa ki kripaa ki..
teri raah hameshaa roshan ho...