20130828

badal liya

badi thokaren hain khai
hm ne
nibhane mein
dil k rishtey

unhen kya kehte
khud ko badal liya ham ne

koi

Koi jhakta hai
Aaine k bheetar se
Mujh jaisa h
Magar koi aur h woh

parchai

Kaancch k farsh par
Parchai h ye kiski
Ek jani pehchani
Dhun ki mehak lgti h

falsafa

Ajib falsafa h khwaabo ka
Dunia badal dete hain

???

Khuli aankhon se
Khwaab bunaa krta tha
Kaanch k dhaagey
Se koi sapna bunta h???

chaand ki khilkhilaahat

Khali hai asmaa
Soona aanganhai
Chaand ki khikhilahat
Ab sunai ni deti

lakeeren

Jaagta hu
Aur talash krta hoon
Ek tukda
Mera hissa
Janta hu jbk
Main b
Meri lakeero meiwo ni h

कान्हा

भाल तिलक
अधर बन्सरी
उर बैजन्ती माल
है नटखट बड़ा
यशोदा का गोपाळ
विराजे हर एक मन में
कान्हा
नन्द का लाल

bahaaney

Chup kar
Bahane band kr sare hi
Tujhse bhi jiada
Gumzada chaand h
Sari shab dhundhta
Phirta hai
Uska sitara
Kho dia h usne

mano na mano

Fir aaine ne toka
Yaad dilane  k liye
Miyan
Sach hi dikhata hoon
Mano na mano

sun ri pawan

Sun ri pawan
Mile gar
Shahzadi meri
To us se kahna

Jis baag mein tum aksar jaati thi
Jaha gujrta tha tumhara wqt
Gulon aur titliyon k saath

Kuchh murjha gya sa hai
Khusbooyen gum hai
Panchhi b ni aate

Nahi nahi
Re pawan
Tum jana jb bi
Gudia k ganv
Use chu k jb gujro
Gulon ki mehak se saja dena usko
Uske muskaan ki khushboo
Mujh tk pahuch aayegi