20140724

Woh

Woh
Ekk kali nanhi si
Mili thi mujhko ekk din
Swarg ki apsra jaisi

Roshni chhitke
Jab woh muskaye

Chaandni bikhre
Jab woh khilkhilaye

Baaten hain uski
Chaashni jaise

Alag hi roop hai
Aangan mein jaise
Sardi ki dhoop hai

Laadli baabul ki
Bhaiya ka khilauna

Hai woh pa ki bitia
Maiya ka gehna

Pyaar ki tasveer hai woh
Dekha tha ek khwaab jo
Uski taabir hai woh

Yaad to nahin

Table pe rakhkhi thi shaayad
Ya phir
Sirhaane ke neeche
Ya
Aalmaari ke upar

Bhool sa gya hoon
Par
Dhoondh raha hoon

Na jaane kya
Talaash rha hoon

Koi benaam si cheez hai
Ya
Berang sa koi lmhaa
Yaad to nahin
Tanik sa bhi

Magar
Ab bhi dhoondhta hoon
Bhatakta hoon

Tum bhool gaye ho shaayad