20140227

Ekk kahani

Ekk kahaani
Hai to bahut purani
Jab tha main chhota
Tab suni thi nani ki jubani
Aaj
Wohi kahani
Main kehta hoon
Suno dhaayan se
Bitia rani

Ekk dafa lord shiva ne dharti par ho rhi dusht ta aur paap ko dekhte huye
Tay kia,
Jb tk yeh log nhi sudhrenge,main apna shankh nhi bjaunga,
Natija
Shankh nhi bja
Barsaat ruk gyi
Ekk bund paani nhi brsa
Saari dharti par akaal pad gya

Shiv duniya ko dekhne ki khaatir nikaley
Unhone ekk ajeeb sa drishya dekha

Ek kisaan
Jalti dophar main
Kar raha khet ki jutaayi
Sarabor pasiney se
Par
Apni hi dhun mein magan
Jamii thi sakht patthar si
Aur woh
Apne ji jaan se juta tha
Apney kaam mein

Shiv utarey
Puchha us kisaan se
O re baawarey,
Kyun kar raha bekar ki mehnat
Kahe ko utha rha hai tu itni jehmat
Sukhi hai dharti
Bahata hau tu pasina
Namumkin hai
Bin barish k kheti ka hona

Kisaan ne sir upar kar
Dekha shiv ko ekk nazar

Hal chalate huye hi
Usne shiv ko dia uttar

Sach hai,aap ki baat
Bin barish kheti ki nahi aas
Par dar lgta hai
Bhool na jaun main
Hal chalane ka hunar
Bas isi liye jot ta hoon
Main apne khet usar

Shiv ke mann ko cheer gye
Kisaan k bole yeh vachan
Lage sochne
Baras beete shankh bajaye
Kya maloom
Yaad hai mujhko
Shankh bajane ka hunar

Dala haath jholi mein
Aur nikaala apna shankh
Funka jor se
Umad padi ghatayen
Megh kaale chha gye
Sun naad shiv shankh ka
Varun dev
Dharti par baaris le kar aa gye