Woh ekk raat
Bahut bhaari thi
Bahut bojhil
Zindgi lahuluhaan ho gyi thi
Aankhen pathra si gyi thi
Aur dil
Woh to bhool gya dharkna
Apney charam par thi dard ki intehaan
Woh ekk raat
Sannaate jangal mein
Khaamoshi k saath badhti jaati thi
Saarey apney haath thaame khade the
Aur sapney
Ekk ekk kar toot te jaate the
Jaise kaanch k bartan toota karte hain
Woh ekk raat
Til-til kar k mar raha tha
Andar se mann
Chhalni-chhalni ho raha tha
Andar se mann
Viraan ho chuki thi duniya
Woh ekk raat
Zindgi maut ki neend so gyi thi