paraye log hain jahaan mein kaun,
sabhi to gumm hain apne aap mein,
har ek ko fursat kahaan khud ke gumm se,
jinhen samjhta hoon apne,
kyaa woh sach mein mere apne hain?
adhure lagte yahaan har ek ke sapne hain,
har ek ki tammanna lagti hai khoyi si,
vicharte hain sabhi tanhaa,
har ek ke khud ke tammannaon ke baag hain.
20120216
jab
tulikaa ka sambandh jis tarah hai chitrakaar se,
ek katha ka rishta hai jis tarah ek kathakaar se,
kavita ka naata hai jaisa uske kavi se,
vaisa hi hai kuchh anaam sa beech mein tumhare aur mere,
kuchh khaali-khaali sa pata hoon apne bhitar,
jab tum paas nahin hote,
ekaki sa hota hai mann mera,
jab tum paas nahin hote,
adhuri si lagti hai meri duniyaa,
jab tum paas nahin hote,
nigaahon mein kuchh soona sa hota hai,
jab tum paas nahin hote,
shaam ke sannate kaatne ko daudten hain,
jab tum paas nahin hote,
nisha tumhari sahchari udaasi mein doobi hoti hai,
jab tum paas nahin hote,
suraj bhi chhubta hai aankho mein,
jab tum paas nahin hote,
ek katha ka rishta hai jis tarah ek kathakaar se,
kavita ka naata hai jaisa uske kavi se,
vaisa hi hai kuchh anaam sa beech mein tumhare aur mere,
kuchh khaali-khaali sa pata hoon apne bhitar,
jab tum paas nahin hote,
ekaki sa hota hai mann mera,
jab tum paas nahin hote,
adhuri si lagti hai meri duniyaa,
jab tum paas nahin hote,
nigaahon mein kuchh soona sa hota hai,
jab tum paas nahin hote,
shaam ke sannate kaatne ko daudten hain,
jab tum paas nahin hote,
nisha tumhari sahchari udaasi mein doobi hoti hai,
jab tum paas nahin hote,
suraj bhi chhubta hai aankho mein,
jab tum paas nahin hote,
Subscribe to:
Posts (Atom)