20111207

aakhiri mulaqaat

raah chalte yaad aaya,
apne kamre mein kuchh bhool aaya hoon main shaayad,
waapas aaya to paaya,
tumhari berukhi kal se mez par rakhhi padi hai,
sochaa ek pal baith kar,
ye hi lauta doon tumhe,
phir khayaal aaya,
tumhaare saath beete pall,
meethi kuchh khatti yaaden,
chandd baaten,
tumhaara khud ka kaada rumaal,
woh ek surkhh gulaab,
jo tumne diya tha hamaari teesri mulaqaat ke waqt,
sukhh chuka hai jo apne rishte ke mafiq,
ye sab bhi to rakhhe huyen hain meri daraaz mein,
jab tum hi na rahe meri zindagii mein,
ham mein jab koi rishtaa hi na rahaa,
to inn sab ka kya karunga main,
apni aakhiri mulaqaat mein inki potli tumhen bhentt karoon,
aur mita doon unn ashayaron ko jo maine kabhii tumhare khaatir likhe the.