20130608
Gharauda
Saahil par bnaya tha ekk gharauda..
Gharauda rishton ka,ehsaas ki ret se
sajaaya khub har kone ko mann ne
aks dikhta tha
dar.o.deewar pr rishto ka
ekk lehar aayi saagar se
ekk chot aur dhah gyi deewar
shesh h bs ekk dher ret ka
siskte ehsaas k rishte ka dher
bahut mushqil hai
bahut mushqil hai
jeena ekk sach k saath
sach hota h sidha.sada
so chamkte jhooth k aage tikta nhi
jhooth k mulame k saath rishte kakya h maayne
gar sach b parda lge to kya kahna
kyuk sach to nagn hota h,isliye shaayad kadwa hota h
ekk sitara
ankhon k kone mein ekk sitara
kuchh geela geela sa
namudaar hota h
aur ghum ho jaata hai
chhor jaata hai ekk tiss
jo der tk chubhti hai
khwaab mrte jaate hain
aur saansen
chalti rhti hain
jism k khatm hone tk
ek potli
Tha ekk sitara asmaa mein,jo aayatha bazm mein hamaari,rkha hmaare jakham par faaha aur khud ko apna kahaa,rhaa kuchh wqt anjumann mein hmaari,ban gya tha ekk abujh sa rishtaa,khubsur at khwaab dikhaye aankhon ko hmaari,
tha mehmaa hmare wqt mein door se aaya tha,jana hi tha usko gulshan se hmaari,aaya akhir woh pal jab uski rujhsati ka,thi ekpotli di usne aur kaha h band isme duayen hmaari
shaayad....
shaayad daasta ki bhi adat pad jaati h..
Muh andherey hi uthna..
Poore gharr mein jhaadu..
Phir bantan..
Phir kitchen..
Nitya ka niyam..
Nitya ki duty..
Din bhar ghar mein idhar se udhar bhaagna daudna..
Phir der raat gaye pahloo mein sajnaa..
Chaah ho ya na ho..
Sehti aa rahi hai sadiyon se..
Ghar k liye..
Bachchon k liye..
Aakhir kyun sehti hai?..
Gharr akele uska hi hai kyaa?..
Doosre ki koi jimmedaari nahii ghar ki khaatir?..
Apni kokh mein seti hai bachchey ko..
Apna lahoo pilaati hai..
Janam deti h..
Khud ko bheege mein sula kr sukhey mein sulaati hai..
Kitna kuchh sehti h..
Tyaag krti hai..
Aur daasi bani rehti hai..
Sadiyon se chali aa rahi daasta khoon mein utar gayi hai shaayad....
udaas shaam
andhere ka anchal failati shaam..jheel ki ankhon mein faili udaasi..yun lgta h udaas shaam ki saari veerani jheel mein simat aayi h
Yeh ladkiyaan
Yeh ladkiyaan
yeh behne
yeh betiyaan
hoti hain kitni saada dil
saada varak
bharam aur izzat par
dafna deti hain khud ki khwaahisaat
zindgi ki kali kaluti sadak par tarkol mein lapet kr
aur
umar bhar tay krti hain safar
kuchaltey huye apney khwaahisaat
tb tk
jb tk safar zindgi ka tamaam na ho jaye..
kar dua
woh gujaarti hai apni zindgi is trha..jaise koi sazaa kaata krta hai..kar dua k usko khud ka khayaal aa jaye..nikal aaye woh apni berang zindgi se baahar
zara sa manushya
tamaam tarhon se kam hota ja rha hoon din b din..meri kamiyon ko dargujar krna mere aas paas waalon....use sweekaar krna...jo main abhi bhi bcha hoon...zra sa manushya
Kidhar jaun
Kidhar jaun
sujhta nhi
sapney bulaate apni mehfil mein
aur
zindgii ki haqiqat
woh to jaanti hai
mujhe laut k waapas aana hi hain
uske khandharaat tk
chaahe jitna udd loon
yakeen hai usko
usko pta h
jitne bhi khwaab bun loon
meri haqiqat nhi badal skti
jitni bhi chhanv khoj loon
tapna to h apni sach k suraj ki tapish mein
roj bunta hoon
khwaabo ki makhmali chaadaren
aur raat badhti jaati hai
siyaah aur siyaah
toote dhaage
toote dhaage nhi judte..
judte hain to ganth ki badaulat..
chahe kitni safai se joda jave..
chhune pr mehsoos hua krti h..
tootey guldaan sajane k kaam nhiaate..
na hi tooti tasveer deewaron pr sajate hain...
Na jaane kyun
dhundhli shaam k saaye mein chali aati hai
tumhari yaad dheere dheere..
Jb k jaanta hai yeh mann bhi
k tum mere daayron se door ho..
Bahutt door..
K chaah kar bhi tum ko hoon nhi thaam skta..
Phir bhi na jaane kyun..
Shaam k dhundhlake mein tum yaad aati ho..
Na jaane kyun.......
kahaan hai sachchai
Sulagti sabz aankhon mein kadwaahat thi,sisktey ehsaason k benoor rang the,
veeran aur jhulstey dard ka daria paar kia tha usne,
saare khushrang khwaab noch liye the wqt ne
us dhuaan dhuaan se chehrey parbs ek sawaal tha
sachchaii..
Kahaan hai sachchaii
jhooth nafrat aur khudgarzi k teeron ki baarish mein etbaar ka nnha gul murjhaa gya hai
parhej
Do ekk roj pehle gya tha dctr ki clinic,kai saare marij the,gya cabinmein mera nmbr aane par,
dctr ne dekha,kai baaten puchhi,parcha uthaya,kuchh dwaaon k naam ghasit diye us par,aur kaha
parhej krna hoga tumhen
sapnon ko sajaane se parhej krna hoga
raina bulaye
Ankhon mein ayi h thodi si nindiya,jhapki hain halki si bitia ki palken,raina bulaye,pwn k jhonkon pe ho k swaar sapney aaye,mund ab to naina yeh apne,aa chal sajaayen apne gharondey,badalon ki ott se chand khele h aankh micholi,chal paas uske jaayen bna k apni toli,khelen kuchh khel sang uske hm dono
ninidia ri
Ninidia ri,aana tu palkon mein,nanhi pari ko sulana ri,
o ri hwa,haule se behna,aur sahlana usko saari raat tu,
o re sitaaro,chun mun krte sapney dena bitia ki ankho ko,
nindiya ri,
khushi
Jalte hain hazaaron deep..ekk hi diye ki lau se..ghat.ti nhi lau na uski umar hi kam hoti hai..kuchh aisi hi hoti hai khushi bhi..badhti hai baatne se......
Parindey
Parindey,
udte hain aasma pr,
aur aa baithte hain kisi daali par,
pr koi thakaan ya udaasi ni dikhti unke chehron pr,
aisa hi kuchh chaahta hoon,
apne aur tumhari khaatir,
parindey thakte nhi kabhi?
Unki thakaan unki udaasi tan mein paida ho nikal jaati h mann se baahar,
shaayad unke tan aur mann k beech koi chhed ho,
jo mann se baahar nikalta ho,
yahaan
tan ki thakaan,
dard jhakhmon k tan se ho mann ki or beh jaate hain
aur wahaan koi suraakh nhi hota,
hr cheej jma hoti jaati h mann mein,
woh ek chhed jo parindon mein hota h jo khulta h hawa mein,
chahta hoon
aisa hi koi chhed apne aur tumhari khaatir.
nanhi bitia
Yeh nanhi nanhi bitia
uske chhote chhote naina
aaja ri nindiya
kisi se na kehna
pankh lga ise sapnon k
sja ise pariyon jaise
maathe pe ho chaand ka tika
saara jahaan pad jaaye iske aage feeka
paanv mein de raag ki runjhun
jo bhi sune woh ho jaaye dhun mein hi gum
pariyon k sang khelegi yeh saari ratia
subha ko fir laut aayegi bitia
bitia b bete ki trha hoti h
Na dekhi baahar ki dunia kbi,
jaana nhi pizza hota kya h,
bs ek lagan,
bs ek soch,
krna h roshan,
jaana h aage sitaare se bhi aage,
din to din,raat ko b lgi rahi,
aur kar dikhaya usne,
ekk chhoti si umar mein,
woh jo har ek ka sapna hota h,
kar dikhaya k
bitia b bete ki trha hoti h,
sach karo
Sach kro unko,
aakaar do unko,
nikal kar apne mann se,
uthao ek saada canvas,
saakar kar dalo
apni mann ki kalpana ko,
zindgii behti h
Zindgii behti h
behti h yun jaise k behta daria
kb kya ho
anjaan hum
kbi behtr
to kbi badtar
kbi anjaane mein
mil jaati dher si khushiyan
to kbi jholi mein aa jaate gam beshumaar
mgar rukti nhi kbi
wqt ki raftaar
na ruke kbi nadia ki dhaar
o re nanhi naav k nanhe khevaiya
kaisa bhi pal ho
rut ho kaisi bhi
thaame rehna tu
sabr ki patwaar
aaj na sahi
kbi to hogi
mulakaat khushiyon se
kbi to aayega nav yug
naya sansaar
o ri gudia
O ri gudia,aa ja tu in baanho mein,aa ja jhoola jhulaun,thapki de k tujhko sulaun,nind ki dunia me le k jaun,le chalun tujhko chanda ki dunia me,pariyon k mele me, aa ja baahon mein
tera muskurata chehraa
Thaka jb bhi zindgi mein...
ya kbi gmzda hua...
tera muskuraata chehra numaya hua...
main ek baar phir se urjit ho utha... thaama hr baar tumne mujhe hmesha tum saath rhi mere...
meri bitia....
gar hamaare sitaare maan lenge unhi haar....
tumhi btalao....
hm diyon ko roshni kaun dega....
khuchh purane khat
Kuchh purane khat raat bhar main padhta rha,
kamre ki roshni k sang main bhi saari raat jalta rha,
kbi halki si hansi hontho pe aayi,aur ankhen nam huyi kbhi,
saari raat kal ki yaadon main jagta rha,
un khaton ko padhta aur sochta rha tumhare likhe shabdon mein chhipe arth ko dhoondhta rha,
shabdon ko gol gol ghuma kr kehta hoon,
tumhaara kaha yeh vakya poori raat chubhta rha,
unke saath ghuma beete samay mein,
unke sang kbi dooba,kbi utrta rha,
mere kahe mere shabd mere paas na the
to tumhare hi shabdon se apne shabdon ko jodta rha,
tum soye the kuchh khush se thode the udaas,
tumhaare maathe par padi shikan ko kal raat main takta rha..
Kal ki saari raat main jagta rha,
kuchh puraane khat the,
unko padhta rha...
khushiyaan
Paison mein kya bsti h khushiyaan?
Ya milti h yeh safalta mein?
Ya prem h iski chabhi?
Kya nirbhar h khushi in par?
Mujhe lgta h
khushi hoti h hm mein hi
khojna hota h usko apne hi antarmann mein
usse jarurat nhi hoti kisi baahri aadambr ki
chidiyon ki chahchahat mein hoti h khushi
hwa k sangeet se milti h khushi
raat k sitaare b bikherte hain jhilmil karti khushi
chhoti chhoti chijon mein nikal aati h
aur behne lgta h ek nirjhar antarmann mein khushi ka
Subscribe to:
Posts (Atom)