20140803

Yaadon ki kothri

Aaj fursat thi
Socha kuchh kar loon
Yaad aaya
Tumne kaha tha
K woh jo uparli manzil hai
Jahaan ekk chhoti si kothri bnayi thi
Yaadon ki kothri
Usmen dhool bhar gyi hai
Kai baras ho gye,taala tak nhi khola

To phir socha
Aaj usey hi dekh leta hoon
Saaf safai kar leta hoon,us kothari ki bhi
Mej se taali uthai,badh chala us kothri ki or
Kothri k taale par jang lg gya tha
Khair
Kisi tarha khola

Sach kaha tha tumne
Waakyi
Dhool bhar gyi thi,wqt ki dhool,gard se bhari thi kothri
Deewaren mein silan aa gyi thi,tamaam makdi k jaale aa gye the,
na jaane kahaan se,
Kuchh chhipkaliyan bhi aa gyi thi,
Himmat jutaayi,aur haath badha k,saamne k makadjaal ko hataya

Kuchh toote khilone,
Mitti k chulhe bartan,jinse tum khela karti thi
Ek toota jhunjhuna
Jiski aawaaz bahut pasand thi tumko,
Darznon dolls,kisi ki naak kharaab thi,kisi ki baanh alag ho gyi thi,
Chaabhi waali train,
Pandit.panditani ka mitti waala set,

Ek jagha dekhi,kuchh tooti rangeen pencilen,jinse tum kaagaz par na jaane kya bnaya karti thi,deewaron par bhi,un se bne kuuchh shapes hain

Ekk paayal thi,tooti,kuchh gunghroo bhi the,ab aawaaz ni karte

Kuchh panney mile,jinpe tumne khud ko,mujhe aur baabu ko ukera tha,ekk duje ka haath thaame,aur kaha tha dikhaate huye,
"Dekho paa,meri family,abhi poori nhi huyi hai,"
Aur bhi bahut saari cheezen

Ekk kone mein,bde jatan se rakha tha ek tukda tha,kaagaz ka,jis par tumne likha tha kuchh,meri likhi lines ko aage badhaya tha,aur diya tha mujh ko,

Aur bahut kuchh tha,chhoti chhoti potli bna k,rakha tha maine,

Jala diya saara kuchh
Mita diya
Kothri saaf kar maine
Ab koi gard nhi hai
Kothri mein