20130112

juda

Badal lo raasta apna,
jb rishtey bojh ho jayen,
judaa kar lo raah tum apni,
kahin rishtey aansu na de jaayen,
hai to yeh ekk sachchai,
hum dono alag raahon k hain raahi,
khayaalon mein bhi apni kbhi h nhi bnti,
main chahun sach sun na
jhootha sach ho tum kehti,
yakinan hum dono hain anjaane,
raah e zindgi mein mile hum kyun na jane,
thodi der ko hoga dard mujhe rishtaa tootne ka,
magar wqt ka marham sbhi ghaavon ko bhar dega,
h shukhiya tumne di mujhe dher si khushiyaan,
hongi chand kirchen daaman mein tumhari meri bheji,
unhen kr dena dafan,
aur aage raah badh jaana...

rishtey

Rishtey hote hain punji jeevan ki,yeh hi baandhe rakhte hain,dete hain aasra sbhi ko dukh mein chhat ki trha,pr yunbhi hota h,woh saathi,woh bharosa,chala jaata h,na jaane kahaan,khushiyan bhi udd jaati hain pankh lga kr,rishton ki tootan k saath,bachti hain to bs,yaadein aur nam si ankhen...

mauli

Mauli,ekk kachchaa dhaaga,toot jaata kitni asani se,lekin jb bndhta h kalai pr kai lapeton mein,ho jata h mazboot kitna,nhi tootta asani se,kyun nhi hota h aisa rishton k saath,woh b to ek dor jaisi hi,shaayad kam reh jaati hain lapeten vishwaas ki,pyaar ki,apnepan ki...

saanjh

Saanjh aur main akela,saath koi nahi,h to bs mera mann,saathi mera,koi chita si jalti h antar mein,dard ki cheekh h koi jo bheetar se baahar ana chahti h,kuch chubhta h toote rishtey jaisa,ekk peer ki nadi umadti h ankhon se,aksar sooni shaanjh yunhi beeta krti h...