sthirr saagar ki tarhaa,
shabnam ki katron k jaisa sheetal,
barsa karta hai bas tumhare liye,
bhavana mein bhar kar kabhii-kabhii lahron ki tarhaa ufaan par aa jataa hai,
ubharta hai aur bikhar jata hai,
khudd hi takraa kar apne hi kinaaro se,
antt mein shaant padd jata hai saagar ki tarha,
mera sneh tumhare llye...
kyun?
nitt main yahi sochta hoon...
20120329
sahare
hamen bhi kabhi mile the sahare,
par aaj woh sahare haath se nikal chuke hain,
gumm ho chuke hain,
sirf rah gayin hain yeh katili pagdandiyan,
aur yeh dhool bhari wadiyaan,
woh pyaar aur wafa ki kahani,
abb khatam ho chuki phir se rah gayi sirf retili jami,
aisa nahin k duniyaa mein pyaar nahin,
par hamare kamnaseeb hamen milkar bhi na mili,
tanhaa hi rah gaye,
zindagii ka khali harf abb bhi hai khali,
bas yaaden hain k hamen bhi kabhii mile the sahare..

Subscribe to:
Posts (Atom)