20121214

bhor ki kiran

Saakh se tute pat.te
phir nhi judte
wapas dal se

na yaad kro beete wqt ko
aaj h na paas tumhare
jiyo isko puri jindadili se
aur bnao kal apna
aaj se behtr
kal tumhara beeti raat thi
woh beet gyi..
Abi bhor ki kiran ho tum
dunia nhi dekhti
na yaad hi rkhta h koi
bs salaam krti h ugte suraj ko
aur bn.na h ugta suraj tumhen...

wqt

Beeta wqt hota h daria k pani k mafiq, abhi jo yha h waha h duje pal, bhta rhta h,fitrat h uski, sahi b h,zindgi bhna hi to h, tumko b bhna h wqt mein, jaise daria mein behta h pani.. Aage aur aage manzil talak

Beeta wqt hota h daria k pani k mafiq, abhi jo yha h waha h duje pal, bhta rhta h,fitrat h uski, sahi b h,zindgi bhna hi to h, tumko b bhna h wqt mein, jaise daria mein behta h pani.. Aage aur aage manzil talak

Beeta waqt

Beeta wqt..
hota h daria k pani k mafiq..
abhi jo yha h..
waha h duje pal...
bhta rhta h..
fitrat h uski..
sahi b h...
zindgi bhna hi to h...
tumko b bhna h wqt mein...
jaise daria mein behta h pani..
Aage aur aage..
manzil talak..

Manzil talak

Beeta wqt hota h daria k pani k mafiq
abhi jo yha h
waha h duje pal
bhta rhta h
fitrat h uski
sahi b h
zindgi bhna hi to h
tumko b bhna h wqt mein
jaise daria mein behta h pani.. Aage
aur aage
Apni manzil talak...

20121028

Adhoorey admi ka sach

Hai kaun?
Jise dhoondhta hoon raaton mein aksar apne bistar par..
Jo bsti h mere ehsason mein
mere mann mein..
Jo ansuon mein dhal kr nikalti h ankhon se..
Jiski awaaz sun.ne ko aaj tk pyasa h mera mann..
Jiski padchaap aksar raaton k san.natey mein sunayi deti h..
Jo mere mann ki gehraiyon mein chhipi baithi h..
Jiske ek sparsh ko lalayit h mera mann..
Jo aksar mujhe bulati h apni baahen faila kar..
H mera hi aks
jiski parchhayin dhundhta hoon main puri dunia mein..
Aaj bhi pukarti h apni totli awaaz mein..
Meri chhoti si bitia..
Meri ajanmi bitia..

Main jaanta hoon siway meri kalpna k woh kahin nhi hai..
Main yoonhi chla jaunga is jag se pyaas liye..
Yehi sach hai..
Sach ekk adhure admi ka sach......

20121024

mann baaware

mann baaware
kyun bhaagta h anjnbi chehron k peechhe
kyun bhatkta h khwaabon k desh mein
sach tujhe pta h
Bas hmdrdi h
koi rishtaa nhi h
jo khojta firta h tu
is dunia k veerane mein
woh nazren jo tkti hain
jinhen tu rishtey kehta h
taras h
dya h
aur kuchh nhi
aur tu baawra
sach jaante huye bhi
daudta h unke hi peechhe
koi nhi yeh tere
aa laut aa waapas
maan le sach ko
saagar milne k baad baarishon ko bhool jaate hain log
tu bs baarish h aur kuchh nhi...

Baarish

mann baaware
kyun bhaagta h anjnbi chehron k peechhe
kyun bhatkta h khwaabon k desh mein
sach tujhe pta h.
Bas hmdrdi h,
koi rishtaa nhi h,
jo khojta firta h tu is dunia k veerane mein
woh nazren jo tkti hain,
jinhen tu rishtey kehta h,
taras h,
dya h aur kuchh nhi,

aur tu baawra sach jaante huye bhi daudta h unke hi peechhe
koi nhi yeh tere
aa laut aa waapas
maan le sach ko
saagar milne k baad baarishon ko bhool jaate hain log
tu bs baarish h
aur kuchh nhi

20120803

sach

jeevan dhara aur main,
vigat varshon maine athah koshishen ki dhaara k virud.dh behne ki,
jeevan k niymon ko bdlne ki,
jeeta rha sapnon mein,andhekhe apnon mein,
adhuri abhilashaon k jal se sinchta rha jeevan bagiya apni,
kai phool khile,subhen makhmali,shaamen sunhari rahi,
raaton ko jo adhurapan tha,k poora hone k sapney dekhta rha,
par ek lamha,ek sach,
beeti raat dhalti rahi waqt k saath aur mera adhurapan siskta rha...
dono ekaki the waqt behta rha apni raftaar se,aur main beete baras ki kuchh yaadon mein jeeta rha...poori raat
un yaadon k saath ek sach bhi mere saath rha
mera sach kadva sach
main kaun
ek adhura insaan
jo kbhi poora nhi ho skta....

20120730

kamra

bahutt haseen,bahutt dilkash thi kamre ki khaamoshi...
do ankhen meri thi,do teri baat karti huyi...

azmayish

yeh kaisi azmayish h mere rab,
woh shakhs paas hokar b paas nhi hota...

naseeb

na kaho badnaseeb is.e tum
kya pta hmko naseeb mein iske kya likha hai

talaab

talkh yaadon k taalab mein pat.thar na phenk..
tujhe kuchh na milega sivaay uski baaton k

jaane kya

guzar rahi thi khushhaal aur pursukun zindgii..
na jaane kya baat huyi..
kaisi hawaa chali..
khudd.b.khudd bikhar rahe hain
hausley rett ki tarhaa..
dhah raha hoon main yunn k jaisey
kachchi mit.ti ki deewar dhahti hai
meri imaarat ka sahaara...
sarmaaya zindgii ka
lutt gaya waqt k haathon...

ehsaas

ek ehsaas tha uski ankhon mein
apnaiyat aur muhbbat ka...
badltey waqt k saath khaamoshi se
badal gayi nigaahen uski bhi...

chot

badi mushkil se jodaa h khudd ko...
choor kar degi zaraa chot bhi usko...

muhabbat

aansoo dekhkar ankhon ki jo ho gayi muhabbat..
tanhai k kis mod par khadi h wahi muhabbat...
ruswai saare jahaan ki li thi jiski khaatir
usi k badaulat hai khaali daaman,la-hasil muhabbat....

badla

kyun leta hai har ek se apni marhumiyon ka badla..
har shakhs tujhey uss jaisa hi nazar kyun aata hai...

raftaar

woh aur zamaane the
jab dil k kahe par chalte the log..
tez raftaar duniya mein munh k bal girne ka khatra hota hai...

nazren

jadd hoti hain tabaahi ki nazren hi
inki badaulat hi jaagti hain khwaahishen,
khaak zami kh lgti h zami par hi behtr...
barbaadi ki nishan hoti hai jo khaak sar chad jaye.

khidmat

karam hai tera jo tune zindgii sanvaari is nachiz ki...
teri khidmat mein guzaarun zindgii
ab zindgii ka yeh hi socha hai.....

deewar

hain jahaan mein kuchh aise bhi naseeb.waale
ghar ki chamkti deewaaron ko hi dekh k khush ho lete hain...

mehfil

yeh kaun si mehfil hai waqt ki...
khushi bhi adhuri hai gum bhi adhura.

rehmat

phir jhuka hoon teri rehmato k saaye ki khaatir...
meri dunia par daal de khushiyon ki chaadar mere maula

20120716

bazaar

baazaar h duniyaa
dukaaney hain
rishtey biktey hain
log biktey hain
bhaavnaon ka bhi haat hai
mol h
woh dekho ekk shakhs aansuon k mol ekk rishtaa kharidd rhaa h
woh nukkad parr hansii ka pitaara kholey
mazmaa lagaye baithaa h ekk vyapaari
ghere baithey hain kharidaar
khushii kharidne aayen hain
woh kinaare kone mein akhirii dukaan
sapney biktey hain

abb

abb khwaab nhi aate uskey raaton ko inn ankhon mein...
footpaath pr khaali pet sotii zindgii nazr aati h...
abb nhi bhaati woh muskuraht jo zindgii thi kbi...
toote khilonon k saath rotey bachchey nzr aate hain......

20120715

kyunn

kehte kehte kehtaa chalaa,
behte behte behtaa chalaa,
anjaanii manzilon ki is khoj mein...
kyunn raaston ki mastii ko bhooltaa chalaa gyaa
manzilen itnii bdii ho gyii thii shaayad
k saath chal rhe raahiyon ko...
peechhey chhortaa chalaa gyaa
bhool gyaa k koi saath b thaa...
apney aap mein hi kyunn doobtaa chalaa gyaa

20120706

jeevan

jeevan so gya h,
vyaapt h san.nataa chahoon ore...
samayy thaharr gya h,
raah khaatmey pr pahunch gyii h...
saamney thodii door parr
khadii h mrityu...
lene ko apne aalingan mein
jeevan so sa gya h...
kuchh sheshh nhi h
samaapt ho gya h spandann bhi...
anubhutii ka swarr bhii
dikhta h mad.dham sa
chakhkshu nir.zann ho gye hain
swapnn bhii ab vilopitt huye...
jeevan so sa gya h.....

20120613

neend aur aankhen

1.
koshishen tammam krte hain k moond ley palken
darte hain kho n jaayen paani ki yeh do boonden

2.
aaj wohi manjar h inn nigaahon mein
unkii yaaden raat phirr jagaayengii hamen

3.
gamm kyunn karta h re mann baaware
neend aaj nhi to kyaa.
so lena tu meri maut k baad

4.
jaagtii aankhon mein besakhtaa ekk khayaal jaaga
kyaa hogaa unka.
jab hmey neend aa jaayegii

5.
kuchh khwaab adhurey hain zindgii k panno parr
wqt milega to unko bhii sochenge

6.
jaane kis khataa ki sazaa h yeh
suntey the bekhtaa ko yahaan sazaa nhi miltii

20120520

suno

raat k andhiyaare se nikal k dekho,

zindgii k asmaa pr ekk nyi ashaa ka suraj pukaar rha h kbse tumko,

beeti raat gyi,
beeti baat gyi,

suraj ko suno
kuchh nyaa buno,
kirno k sunhri dhaago se,
vishwaas k khaddon pr,
buno apne kal ka khaaka,

suraj h kah rha tumse
zindgii kah rhi,
tumhaare apne h kah rhe,

zraa dhyaan se suno,
tumhaara mann b h kah rha, socho mt,

kr dalo bs,
bunn dalo apnaa kal...
aisaa n ho derr ho jaaye...
yhi wqt h sahii...

umr k dusre mod pr sapney nhi bune jaate,
uss mod pr bs jeena hota h,
jaise-taise katt jaye,

uss mod pr marr chukey hote hyn sapney,

kyuk sapney bune jaatey hyn ateet ki zameen pr,
kalpnaa k dhaago se jo sunhri hote hyn,

jaise kaaya ksheen hoti jaati h, kalpnaa mrti jaati h.
saans chlti h...
aur jeeye jaate hyn...

20120515

aankhen

kaali bhurii sii aankhen... ankhen thii ya sitarey they shaayad, ya kahoon jugnu unheyn, shabdd hii nhin miltey unn ankhon k liye, so bass do aankhen thii, kaali bhurii si aankhen... kuchh alag sii,kuchh judaa sii, thii to issi duniyaa kii, koyi sapnaa nhin thaa, naa hii thii koyi kalpnaa, kaalii bhurii si aankhen... unn ankhon mein dherr saari kahaniyaan thii, ankahii, jo naa kabhii usney kahii thii, jo naa kisii ne sunii thii... ekk kashish thii ajeeb sii unmeyn, kashish jo parey thii shabdoon se... meraa unkaa koyi rishtaa naa thaa, naa hii woh merii purv.parichitt thii... bass hamm kuchh samayy saath chale they, kuchh samayy ke liye hamm sahcharr they... main aur woh kaali bhurii aankhen...

20120512

ladki

paidaish ke saath hi naam judaa shtree... phir beti... phir behan... badi huyi, ekk aur rishtaa judaa... patni huyi ek shakhs ki, aur phir maa... sari umr joojhti rhi... uss shakhs ki khaatir... apne bachchon ki khaatir... parivaar ki khaatir... jaise yeh dharti maa sahti hai sab kuchh, shaayad yeh prakritii hai... har ladki mein rha karti hai maa, maa ka dil jo komal hota hai... har dard sahti hai umr bhar, par woh ublti nhi jwalamukhi ki tarha, kyuki maa hoti hai ess dharti par ishwar ka roop...

20120505

woh ek ladki

woh ek ladki
darti h apne dil ki kiwad kholne se

woh ek ladki,
jiske pyazi labon pr ek shagufta si muskurat khilti h

woh ek ladki
khayalon mein khoyi-khoyi si jaane kya dhoondha karti h?
aksar maine raaton mein usse asmaa takte dekha h
yunhin muskurati hai
na jane kya dikhta hai usse wahaan taaron k sivay

woh ek ladki,
jiske chehre par uski kirdaar ki paakizgii ka noor jhalkta hai

woh ek ladki
jo khud mein hi zazb karti h nami khud ki ankhon ki,
bas kuchh sahmey sahmey zazbey
chupke.chupke jhanktey hain wahaan se

woh ek ladki,
dhaan-paan si,pyari si
goonchon ki qyaari si

woh ek ladki,
jiski bdi-bdi ankhon mein veeraniyan faili hain, kabhi kisi lamhey ek ajab si chamak kaundti hai
bas kisi lamhey

woh ek ladki,
kuchh sanzeeda si hain jiski nigahen,

jaise abhi mere hathon se gir kar yeh guldaan toota hai
kya uski khwabon aur hasraton ka bhi.....

20120412

maa

maa,
jaise k varsha ka mausam,
woh jal deti hai,
phal deti hai,
jeevan ka taap door karti hai,
asamaa se khud ko gala pighla kar hamen deti jati hai,
bina bhed-bhav k,
jeevan k rikt sthan ko bhar deti hai,
hamare bhitar ki komal bhav maa ki hi den hote hain,
gar maa na hoti to....

kaashh

harr beet ta lamhaa
harr pall kuchh jodtaa hai
kuchh bichhartaa hai jeevan mein
kuchh ehsaas
kuchh sapne
kuchh vaayade
kuchh......
mann mein har pall chaltaa hai
kuchh harr pall
harr waqtt
jeevan ka yehii niyamm hai
sadiyon se
naa jaane kabse
insaa bhramm mein hota hai
kaash
yeh bhaavnayen naa hotii
kaashh
woh jo dharktaa sa hai
patthar ka hota...

chaatak

bindhaa samayy sharr se jeevan chaatakk,
latpathh haii sharirr akaankshaon ke raktt se,
jihvaa pyaasi hai swaati boond kii khaatirr,
nayann bharr gaye hain atitt kii rett se,
jhuriiyaan hain padii jaati raah kii thapedon se,
bojhill sii ho chalii haii chaal bhii,
udane ko kehtii hain khwaahishen uskii,
jismm haii kehta
bahutt ho gyaa udnaa,udaana,
ab pankhon mein pahle sii jaan naa rahii,
abb bass pratikshaa haii kabb mile swaatii boond....

shabdd

shabdd,
bejaan shabdd,
bejaan hi hota hai har shabdd,
jabb ham karte hain unka upyog,
parr kya hota hai?
jab woh shabdd baahar aate hain,
khushi dete hain yahi shabdd,
dukh ki peer ko kam karte hain yahi shabdd,
khushi ko hamari apne aur begano ko bataate hain yahi shabdd,
gamm ho tab bhi unhen paribhashit karte hain yahi shabdd,
har bhavana ko vyakt karte hain yehi shabdd,
pannon par dikhne wale yehi shabdd khud hi bante bigadte nahin,
banaate bhi hain bidaagte bhi hain,
har rishte ko parwaan chadhne ke kaaran hote hain yehi shabdd,
unke tootne mein bhi ahamm bhumikaa hote hain yehi shabdd,
bejaan se yeh shabdd mann ki bagiaa ke phoolon ki tarha hain,
baaten badi badi hoti hain jinhen banaate hain yehi chhote shabdd.

20120405

takiaa

mann ki pagdandiyon ke saath ek parnaala bahaa kartaa hai...
jabb bhii main khaali hota hoon,
beete waqt mein jaata hoon innhin pagdandiyon se hokarr...
yeh parnaala mere saath chaltaa hai,
yoon lagtaa hai jaise tumm saath ho...
raaton mein aksarr yeh hotaa hai...
aur bistarr kaa takiaa mujhe beega saa miltaa hai...

20120329

kyunn

sthirr saagar ki tarhaa,
shabnam ki katron k jaisa sheetal,
barsa karta hai bas tumhare liye,
bhavana mein bhar kar kabhii-kabhii lahron ki tarhaa ufaan par aa jataa hai,
ubharta hai aur bikhar jata hai,
khudd hi takraa kar apne hi kinaaro se,
antt mein shaant padd jata hai saagar ki tarha,
mera sneh tumhare llye...
kyun?
nitt main yahi sochta hoon...

sahare

hamen bhi kabhi mile the sahare,
par aaj woh sahare haath se nikal chuke hain,
gumm ho chuke hain,
sirf rah gayin hain yeh katili pagdandiyan,
aur yeh dhool bhari wadiyaan,
woh pyaar aur wafa ki kahani,
abb khatam ho chuki phir se rah gayi sirf retili jami,
aisa nahin k duniyaa mein pyaar nahin,
par hamare kamnaseeb hamen milkar bhi na mili,
tanhaa hi rah gaye,
zindagii ka khali harf abb bhi hai khali,
bas yaaden hain k hamen bhi kabhii mile the sahare..

20120322

talaash

talaash,
tumhen talaash hai jinkii,
dhoondh rahii hain jinhen nazaren tumharii,
gaurr se dekho to,
tumhare paas hi to hain sabhii,
parr lagtaa hai najarr tumharii kamzor ho gayii hai paas kii,
tabhii to bass door ka hi najarr aata hai tumhen,
najaron ko tumharii jo butt patthar ke nazarr aate hain tumhare aas-paas,
tumhen jinkii dhadkann bhii sunayii nahii detii,
naa hii nazaren unkii padhh paateho tum unkii,
padh paate to yunn naa bhatke,
yunn na naachte shabdon ke farebii jaal kii ridham parr,
woh jo patthar se dikhte hain tumhen,
rishte hain drasal,
bass zaruratt hai unhen tarashne kii,
unn bejaan patthron mein bhii jaan hai,
parr shaayad tum nahii samjhoge,
tumhen aadat jo padd gayi hai farebii shabdon kii,
ho sake to waapas jao apnii duniaa mein,
jahaan sabhii hain tumhare hii manchahe roop mein,
bass taraasho unn butto ko apnepan se,
ehsaas ki chhenii,
snehh ki hathaudii kii zaruratt hogii unkii khatirr,
jo tumhare paas hai mujhko pataahai,
varnaa barson baad butto kii iss duniaa mein ekk butt aur badhh jayega,
aurr koii naa hogaa unhen taraashne wala......

20120320

sikka

sukhh hai to dukhh bhi hai,
milna hai to bichhadna bhi hai,
judna hai to tootna bhi hai,
sabhi hain ekk hi sikke ke do pahlu,
zindagii ka sikka...
sikke ke do pahlu...
haan hai dagar kathinn teri,
raah bhi tedhii-methii si hai,
parr chalna to hogaa jeevan-path parr,
bass yoon karna
dill ke dardd ko dabaa kar,chhupakar
apnii mehakk failate rehna zindagii ki fizaa mein,
abhii to safar ka agaaz hai,
aur tumhen jaana hai bahutt door tak apne path par,
koi saath ho,na ho,
apni raah tum chalte rehna,
bass chalte rehna....

20120309

kaash

har beetta lamhaa
har gujartae pall
kuchh judta hai kuchh bichharta hai jeevan mein
kuchh ehsaas
kuchh sapney
kuchh waade
kuchh apney
mann mein har pall chalta rahta hai kuchh
kuchh jaana samajha
kuchh anjaana
abujh paheli sa
jeevan ka yahii niyam hai
sadiyon se
na jaane kabse
yunhi chal rahta hai
mann
naa chahte huye
koi bandish nahi maanta
naa koi dorr rok pati hai isko
kaash
bhaavnayen naa hotii
kaash
yeh jo dhadkta hai patthar ka hota

sapney

sooni ankhen,
unn ankhon ke sapne,
sapnon ki tutan,
ansoon ki baarish,
baarish mein dooba mann,
mann ko dilasa dena,
phir sapne dekhna,
phir wahi kram,
wahi sab kuchh,
zindagii tamaam ho jati hai,
par sapne jas ke tas,
bas ankhen badal lete hain sapne,
naya basera dhoodh lete hain sapne...

20120305

yeh zindagii

yeh raah-e-zindagii hai,
bahut se musafir mila karte hain,
kisi ko kahin jana hota hai kisi ko kahin,
sabki manzill judaa hoti hai,
chandd kadamon ka saath hota hai,
apna modd aane par har ekk mudd jata hai apni manzill ki orr,
yahi zindagii hai yeh aisi hi hoti hai,
kabhii dheemi itni k waqt bhi rukaa sa lagta hai,
kabhii chalti hai aisi k baras bhi pall jaisa lagta hai,
kabhii itni roshann k suraj bhi mandd lagta hai uski chamak k aage,
kabhii lagti itni syaah amavass jaisi yehi zindagii,
hai kabhii shahadd lage,
lage kabhii mirchii yehi zindagii,
hai saawan ki boond jo sare taap door kar deti hai,
to kabhii itni tape jaise k marru ki marichikaa hai zindagii.

20120302

lakshay

jeevan ka lakshay bhool sa gaya hoon,
yaad hi nahin k yahaan main aaya kyun thaa?
yeh bandhan mein mohjaal kase hai mujhe,
baandhii hai isne ankhon par patti,
aur main iss bandhi patti se gaandhari sa ho gaya hoon,
nahin sujhta koi pathh muktii ka,
na hi dikhtii hai koi kiran roshni ki,
chaaron ore mere ghorr andhkaar hai,
saath hi phaili hain nirasha ki lataayen,
kiis tarha aaye prakash iss qile mein,
aur bataa jaye k tera lakshyaa yeh nahin,
kuchh aur hai,
kahin aur hai.

20120301

kyun

vyaqti kinchit yeh nahin janta,
woh duniya mein aaya kyun kar hai?
puraan kahte hain duniya mein har ekk ka hai apna sthan,
apna kaam,
par vyaqti iss saansarik mohjaal mein bhatktaa hai,
ulajhta hai,
bhool jaata hai iss bhramakk sansaar mein woh aaya hai kisi kaaranvash,
yeh bhii woh bhool jaata hai k uska lakshya hai niyat,
usse kuchh karna hai,
aata hai akele hi par aate hi bandh jaate hain anekon rishton k jaal,
aur inn jaalon mein bandha hua,
uljha hua woh ho jata hai lakshay se door,
pahunchta hai aise sthan par,
jahan par maatra andhera hai,
syahii hai,
par woh khush hai iss jaal mein,
iss andhere mein,
na jaane kyun?

20120228

sidhiyan

mere ghar ki uppar ki sidhiyan
jahan barson pahle main ghanto baithta
bunta tha khwab
sochta tha dunia bhar ki baaten
kabhii asmaa mein udte parindon ko dekhta
kai baar vahin baithe maine taron ko tutte dekha
subah sham raaten sabhi maine bitayen hain wahaan
ajj bhi hain woh sidhiyan
wahin jas ki tas
par main badal sa gaya hoon zindagii ki bhagadauri mein
woh asmaa k parinde nahin dikhte
na hi raaton ko tut.te taaron ka khayal aata hai
kabhii unn sidhiyon par aate jaate lagta hai k woh kah rahi ho kuchh waqt to thahro
par kadam nahin rok pata
ansuna kar deta hoon
aur nikal leta hoon
zindagii ki ussi bhag-daud mein shamil ho jaata hoon

20120227

jeevan

jeevan ki raah hai badi kathin,
iskii raahen hain tapti huyi,
na milenge iss mein nadiyan jharne,
na milegii iss mein saawan hariyalii,
hai bahut kathin phir bhii,
jo aaya hai iss raah mein,
iss se hokar usse jaana hoga,
iss raah ki koi waapasi nahin...

main

main swayam k charo ore pata hoon ek chaadarr,
mere sanskaron ka,
jo mujhe bachaye rakhta hai,
mahabhat k karann ko uska kavach jaise bachata tha,
iske andar swaym ko surakshit sa pata hoon,
parr bhayy sa lagaa karta hai,
kahin se samayy vesh badal kar aaye,
maang le yeh chadarr,
mujhe dena hi hogaa usko apnaa yeh kawach,
aur badalte samaaj k nukeele teeron se chhalni hona hoga...

ekakii

ekakipan,
yeh shabd nahin ekk kosh hai yaadon ka,
isi ekakipan mein ham jab paate hain swaym ko akela,
kholte hain yaadon ki pitari,
aur lag jata hai mela,
mele mein kahaan koi rah paata hai akelaa,
bas jeevan mein yahi ekkatra karte hain ham matra yaaden,
yahi hamare ekaant ki saathi hain,
ekk waqt wah bhi aayega,
jab jeevan meraa jayega tham,
tab yeh yaaden hi rahh jayengii...

o chaand

o chaand,
tumhen dekh kar kisi ko yaad aate hain beete lamhaat,
beete huye pall,
par jab bhi maine tumhen dekha hai,
paaya hai tujhe vaise hi aviral,aviram,
chalte rahte ho raat bhar,
aur dikhate ho raat ke musafir ko raah,
par main sochtaa hoon k tumko andhere mein raasta dikhata kaun hai?
dekhte huye tumko aur sochte huye chha jaati hai mujh par neend ki chaadar,
swapn mein hardam mujhko tum mein nazarr aati hai maa...

woh shakhs

ja raha tha mulaqaat ki khatir,
raah-e-safar mein mila ek shakhas,
baitha tha bus ki bayin taraf khidki wali seat par,
jardd sa chehraa,
udaasi bhari aankhen,
sukhe sabz honth,
dhool se sani thi deh, kapde bhi the dhool se sane,
uske bagal ki seat khali thi,
main ja baitha uss seat par,
safar shuru hua,
kuchh waqt beeta,
woh bus baahar khidki se dekhe ja rahaa tha,
maine chuppi todi aur puchha uss se,
kahaan tak jaana hai?
uski ore se koi jawaab na aaya,
na jaane kahaan khoya tha,
na jaane kis khayaal mein gumm tha,
ya meri awaaz hi na suni ussne,
bus woh dekh rahaa tha apalak baahar ek tathasth sa,
mann mein aaya kahin woh mook to nahin chehre se to aisa jaahir nahin hota tha,
ghante dhedh ghante baad mera gantavy aaya,
jahaan mujhko jaana tha,
main utarne ko taiyaar hua,
peeche dekha woh bhi khada tha,
shaayad usko bhi yahin tak aana tha,
ham utre ek saath,
main aage badh gaya,
na jaane kyon pichhe muda,
dekha woh apni khayaalon mein dooba chala ja raha tha.

soch

sthirr saagar ki tarhaa,
shabnam ki katron k jaisa sheetal,
barsa karta hai bas tumhare liye,
bhavana mein bhar kar kabhii-kabhii lahron ki tarhaa ufaan par aa jataa hai,
ubharta hai aur bikhar jata hai,
khudd hi takraa kar apne hi kinaaro se,
antt mein shaant padd jata hai saagar ki tarha,
mera sneh tumhare llye...
kyun nitt main yahi sochta hoon..

main

main swayam k charo ore pata hoon ek chaadarr,
mere sanskaron ka,
jo mujhe bachaye rakhta hai,
mahabhat k karann ko uska kavach jaise bachata tha,
iske andar swaym ko surakshit sa pata hoon,
parr bhayy sa lagaa karta hai,
kahin se samayy vesh badal kar aaye,
maang le yeh chadarr,
mujhe dena hi hogaa usko apnaa yeh kawach,
aur badalte samaaj k nukeele teeron se chhalni hona hoga...

20120224

laut aao

मेरी रातेँ,
कुछ यादेँ,
खोए सपने,
तुम्हारा अक्स,
बेबात बातेँ,
मुस्कुराता चेहरा,
अपना अलगाव,
भीगे नयन,
अधूरी रातेँ,
सूने दिन,
तुम बिन,
अधूरी जिन्दगी|

20120223

bas unhi

तनहा रात,तनहा हम,सोचा कोई ना सही आप तो साथ होँगे।
हमेँ क्या पता था आप भी हवा की तरह रूख बदल लेँगे॥

आपको हमारे आँसूओँ से खुशी मिलती है अगर।
हम आपकी खातिर ताउम्र रोया करेँगे॥

चन्द पल का साथ भी आपको गंवारा नहीँ हमारे साथ।
यूँ तो दोस्ती का दावा खूब किया करते थे॥

20120216

tammanna

paraye log hain jahaan mein kaun,
sabhi to gumm hain apne aap mein,
har ek ko fursat kahaan khud ke gumm se,
jinhen samjhta hoon apne,
kyaa woh sach mein mere apne hain?
adhure lagte yahaan har ek ke sapne hain,
har ek ki tammanna lagti hai khoyi si,
vicharte hain sabhi tanhaa,
har ek ke khud ke tammannaon ke baag hain.

jab

tulikaa ka sambandh jis tarah hai chitrakaar se,
ek katha ka rishta hai jis tarah ek kathakaar se,
kavita ka naata hai jaisa uske kavi se,
vaisa hi hai kuchh anaam sa beech mein tumhare aur mere,
kuchh khaali-khaali sa pata hoon apne bhitar,
jab tum paas nahin hote,
ekaki sa hota hai mann mera,
jab tum paas nahin hote,
adhuri si lagti hai meri duniyaa,
jab tum paas nahin hote,
nigaahon mein kuchh soona sa hota hai,
jab tum paas nahin hote,
shaam ke sannate kaatne ko daudten hain,
jab tum paas nahin hote,
nisha tumhari sahchari udaasi mein doobi hoti hai,
jab tum paas nahin hote,
suraj bhi chhubta hai aankho mein,
jab tum paas nahin hote,

20120204

naa januu

baitha hua,
soch raha hoon.
kya likhoon,
haath mein kalam hai,
par kya likhoon,
dil mein jazb hain jazbaat,
unhen kis tarha utaroon kaagaz par,
tadap hai anjani si par kiski khatir,
na janu,
aankhon mein hai talaash kisi ki,
hai kaun woh,
main na janu,
nigaahen bhatakti firti hain,
awara si banzare ki tarha,
bahut sochta hoon bandhne ki,
par woh zanzeer hai kahan,
na janu,
hoon pareshaa bahut main apne dil se,
kare hai khwahishen aisi,
jo main janta hoon nahin ho sakengi purii,
ant tak rah jayengi adhuri,
lekin dil ko kaise samjhanoon,
na janu....

20120126

sapnaa

kali juhii ki thii,
meri shahzaadi,
meri bitia,
jo akskar mere khwabon mein aaya karti thi,
aa rahi thi is dunia mein,
nanhi si,
parii si,
woh andekhi mere gharr ke soone aangan ko apni aawaz se saraborr karne,
dher saare sapne sajaaye the,
bahut si khwahishen jaagi thi usse lekar,
hamne mil kar bahut kuchh socha tha,
par sapne saare bikhar gaye,
toot gaye,
meri gudia na aayi meri dunia mein,
uske saath hi meri dunia bhi na rahi,
abb jeena hai bas,
kyuki kuchh rishtey hain unse bandhaa hoon main.

20120124

parchhayiyan

Zindagii ki chhanv mein teri parchhayiyan,
shaam-o-shehar ki meri aawargii,
beete waqt ke dhundhlake mein kuchh tum jaisaa,
har din badhti jaati hai meri tishnagii,
pal har pal chhan-chhan ki awaazen,
har waqt lage jaise hai meri zindagii.

woh

asptaal ka kamra,
woh safed chaadar,
us se nikaltii uff woh thandak,
aankhen pathraa si gayii hain,
uss chaadar ke neeche letaa hai koi apnaa,
lagta hai merii aglii saans nahi li jayegii mujhse.

20120120

ekk shaam

ekk shaam,
gumsum sa mann,
kisi ke aane aahat aayi,
koi khada thaa darwaaze par,
dill mein khayaal aaya,
naa jaane phirr kaunn hoga,
anmanaa sa uthaa,
darwaaza khola,
dekhte hi usko dil hans padaa,
na jaane kabb se uss saksh ki raahh dekh rahaa thaa main,
aankhon mein jin mein naa jaane kab se udaasi thii,
ekk anaam si chamakk laut aayi thii,
jo jaane kahaan chhipi thii barson se,
jaane kahaan dard jo seene mein chubhta sa tha,
gumm ho gayaa.
saamne kharii thii merii dulhann,
merii maut,
lene ko apne aagosh mein,

ekk bhul

ekk bhul uski jo us se huyi thi beete waqt mein,
woh bhool jaane mein hui,
ya anjaane mein,
uske eird-gird mandrate hain,
saaye aur unke pratibimb,
fan failaye rahte hain har waqt,
beeta kal uske aaj par grahan ki tarah chhaaya hai,
apna kafan faadkar woh kal aaj ko leelne ko aatur hai,
pataa lagaa kal woh chhat se gir gaya.

20120116

main akela

raat thand ki aur main kamre mein akela,
saath mein hai bas meri soch aur saaya mera,
dooba jab saagar mein apni soch ki,
paaya aap the inmein,
subah ki mulaqaat jehan mein abb tak bani huyi hai.

20120112

niyti

niyti ko raas na aaya mera muskurana,
jeevan path par huyi paashaan varsha,
vartmaan andhkaarmay adrishay sa bhavishay,
hai kiska doshh?
niyti ka ya mere abhagy ka,
rassvihin jeevan ke divas bhi,
aate hain aur rula kar chale jate hain.

20120110

canvas

Khali padi us purani canvas par brush chalate,
ek tasveer jo mere jehan mein thi ukera maine,
rang bharte waqt,
bachpan ke indradhanushi,
yaadon ki sookhi pattiyon se,
umrr ki dhoop se rang liye maine,
ek konaa canvas ka bina rannga reh gayaa,
woh jagah maine tumhare liye rakh chhorii hai.

20120105

ankhon ki nami

yeh ankhon ki nami,
dil ka soona kona,raat ki tanhai ke sannate,
bas kaano mein goonjti hai,
woh tumhari aakhiri baat,
main abb bhi nahin samajh payaa,
tumhari baaton mein chhupi ankahi baaten.