20120126

sapnaa

kali juhii ki thii,
meri shahzaadi,
meri bitia,
jo akskar mere khwabon mein aaya karti thi,
aa rahi thi is dunia mein,
nanhi si,
parii si,
woh andekhi mere gharr ke soone aangan ko apni aawaz se saraborr karne,
dher saare sapne sajaaye the,
bahut si khwahishen jaagi thi usse lekar,
hamne mil kar bahut kuchh socha tha,
par sapne saare bikhar gaye,
toot gaye,
meri gudia na aayi meri dunia mein,
uske saath hi meri dunia bhi na rahi,
abb jeena hai bas,
kyuki kuchh rishtey hain unse bandhaa hoon main.

20120124

parchhayiyan

Zindagii ki chhanv mein teri parchhayiyan,
shaam-o-shehar ki meri aawargii,
beete waqt ke dhundhlake mein kuchh tum jaisaa,
har din badhti jaati hai meri tishnagii,
pal har pal chhan-chhan ki awaazen,
har waqt lage jaise hai meri zindagii.

woh

asptaal ka kamra,
woh safed chaadar,
us se nikaltii uff woh thandak,
aankhen pathraa si gayii hain,
uss chaadar ke neeche letaa hai koi apnaa,
lagta hai merii aglii saans nahi li jayegii mujhse.

20120120

ekk shaam

ekk shaam,
gumsum sa mann,
kisi ke aane aahat aayi,
koi khada thaa darwaaze par,
dill mein khayaal aaya,
naa jaane phirr kaunn hoga,
anmanaa sa uthaa,
darwaaza khola,
dekhte hi usko dil hans padaa,
na jaane kabb se uss saksh ki raahh dekh rahaa thaa main,
aankhon mein jin mein naa jaane kab se udaasi thii,
ekk anaam si chamakk laut aayi thii,
jo jaane kahaan chhipi thii barson se,
jaane kahaan dard jo seene mein chubhta sa tha,
gumm ho gayaa.
saamne kharii thii merii dulhann,
merii maut,
lene ko apne aagosh mein,

ekk bhul

ekk bhul uski jo us se huyi thi beete waqt mein,
woh bhool jaane mein hui,
ya anjaane mein,
uske eird-gird mandrate hain,
saaye aur unke pratibimb,
fan failaye rahte hain har waqt,
beeta kal uske aaj par grahan ki tarah chhaaya hai,
apna kafan faadkar woh kal aaj ko leelne ko aatur hai,
pataa lagaa kal woh chhat se gir gaya.

20120116

main akela

raat thand ki aur main kamre mein akela,
saath mein hai bas meri soch aur saaya mera,
dooba jab saagar mein apni soch ki,
paaya aap the inmein,
subah ki mulaqaat jehan mein abb tak bani huyi hai.

20120112

niyti

niyti ko raas na aaya mera muskurana,
jeevan path par huyi paashaan varsha,
vartmaan andhkaarmay adrishay sa bhavishay,
hai kiska doshh?
niyti ka ya mere abhagy ka,
rassvihin jeevan ke divas bhi,
aate hain aur rula kar chale jate hain.

20120110

canvas

Khali padi us purani canvas par brush chalate,
ek tasveer jo mere jehan mein thi ukera maine,
rang bharte waqt,
bachpan ke indradhanushi,
yaadon ki sookhi pattiyon se,
umrr ki dhoop se rang liye maine,
ek konaa canvas ka bina rannga reh gayaa,
woh jagah maine tumhare liye rakh chhorii hai.

20120105

ankhon ki nami

yeh ankhon ki nami,
dil ka soona kona,raat ki tanhai ke sannate,
bas kaano mein goonjti hai,
woh tumhari aakhiri baat,
main abb bhi nahin samajh payaa,
tumhari baaton mein chhupi ankahi baaten.