sthirr saagar ki tarhaa,
shabnam ki katron k jaisa sheetal,
barsa karta hai bas tumhare liye,
bhavana mein bhar kar kabhii-kabhii lahron ki tarhaa ufaan par aa jataa hai,
ubharta hai aur bikhar jata hai,
khudd hi takraa kar apne hi kinaaro se,
antt mein shaant padd jata hai saagar ki tarha,
mera sneh tumhare llye...
kyun?
nitt main yahi sochta hoon...
20120329
sahare
hamen bhi kabhi mile the sahare,
par aaj woh sahare haath se nikal chuke hain,
gumm ho chuke hain,
sirf rah gayin hain yeh katili pagdandiyan,
aur yeh dhool bhari wadiyaan,
woh pyaar aur wafa ki kahani,
abb khatam ho chuki phir se rah gayi sirf retili jami,
aisa nahin k duniyaa mein pyaar nahin,
par hamare kamnaseeb hamen milkar bhi na mili,
tanhaa hi rah gaye,
zindagii ka khali harf abb bhi hai khali,
bas yaaden hain k hamen bhi kabhii mile the sahare..

20120322
talaash
talaash,
tumhen talaash hai jinkii,
dhoondh rahii hain jinhen nazaren tumharii,
gaurr se dekho to,
tumhare paas hi to hain sabhii,
parr lagtaa hai najarr tumharii kamzor ho gayii hai paas kii,
tabhii to bass door ka hi najarr aata hai tumhen,
najaron ko tumharii jo butt patthar ke nazarr aate hain tumhare aas-paas,
tumhen jinkii dhadkann bhii sunayii nahii detii,
naa hii nazaren unkii padhh paateho tum unkii,
padh paate to yunn naa bhatke,
yunn na naachte shabdon ke farebii jaal kii ridham parr,
woh jo patthar se dikhte hain tumhen,
rishte hain drasal,
bass zaruratt hai unhen tarashne kii,
unn bejaan patthron mein bhii jaan hai,
parr shaayad tum nahii samjhoge,
tumhen aadat jo padd gayi hai farebii shabdon kii,
ho sake to waapas jao apnii duniaa mein,
jahaan sabhii hain tumhare hii manchahe roop mein,
bass taraasho unn butto ko apnepan se,
ehsaas ki chhenii,
snehh ki hathaudii kii zaruratt hogii unkii khatirr,
jo tumhare paas hai mujhko pataahai,
varnaa barson baad butto kii iss duniaa mein ekk butt aur badhh jayega,
aurr koii naa hogaa unhen taraashne wala......

20120320
sikka
sukhh hai to dukhh bhi hai,
milna hai to bichhadna bhi hai,
judna hai to tootna bhi hai,
sabhi hain ekk hi sikke ke do pahlu,
zindagii ka sikka...
sikke ke do pahlu...
haan hai dagar kathinn teri,
raah bhi tedhii-methii si hai,
parr chalna to hogaa jeevan-path parr,
bass yoon karna
dill ke dardd ko dabaa kar,chhupakar
apnii mehakk failate rehna zindagii ki fizaa mein,
abhii to safar ka agaaz hai,
aur tumhen jaana hai bahutt door tak apne path par,
koi saath ho,na ho,
apni raah tum chalte rehna,
bass chalte rehna....

20120309
kaash
har beetta lamhaa
har gujartae pall
kuchh judta hai kuchh bichharta hai jeevan mein
kuchh ehsaas
kuchh sapney
kuchh waade
kuchh apney
mann mein har pall chalta rahta hai kuchh
kuchh jaana samajha
kuchh anjaana
abujh paheli sa
jeevan ka yahii niyam hai
sadiyon se
na jaane kabse
yunhi chal rahta hai
mann
naa chahte huye
koi bandish nahi maanta
naa koi dorr rok pati hai isko
kaash
bhaavnayen naa hotii
kaash
yeh jo dhadkta hai patthar ka hota
sapney
sooni ankhen,
unn ankhon ke sapne,
sapnon ki tutan,
ansoon ki baarish,
baarish mein dooba mann,
mann ko dilasa dena,
phir sapne dekhna,
phir wahi kram,
wahi sab kuchh,
zindagii tamaam ho jati hai,
par sapne jas ke tas,
bas ankhen badal lete hain sapne,
naya basera dhoodh lete hain sapne...
unn ankhon ke sapne,
sapnon ki tutan,
ansoon ki baarish,
baarish mein dooba mann,
mann ko dilasa dena,
phir sapne dekhna,
phir wahi kram,
wahi sab kuchh,
zindagii tamaam ho jati hai,
par sapne jas ke tas,
bas ankhen badal lete hain sapne,
naya basera dhoodh lete hain sapne...
20120305
yeh zindagii
yeh raah-e-zindagii hai,
bahut se musafir mila karte hain,
kisi ko kahin jana hota hai kisi ko kahin,
sabki manzill judaa hoti hai,
chandd kadamon ka saath hota hai,
apna modd aane par har ekk mudd jata hai apni manzill ki orr,
yahi zindagii hai yeh aisi hi hoti hai,
kabhii dheemi itni k waqt bhi rukaa sa lagta hai,
kabhii chalti hai aisi k baras bhi pall jaisa lagta hai,
kabhii itni roshann k suraj bhi mandd lagta hai uski chamak k aage,
kabhii lagti itni syaah amavass jaisi yehi zindagii,
hai kabhii shahadd lage,
lage kabhii mirchii yehi zindagii,
hai saawan ki boond jo sare taap door kar deti hai,
to kabhii itni tape jaise k marru ki marichikaa hai zindagii.

20120302
lakshay
jeevan ka lakshay bhool sa gaya hoon,
yaad hi nahin k yahaan main aaya kyun thaa?
yeh bandhan mein mohjaal kase hai mujhe,
baandhii hai isne ankhon par patti,
aur main iss bandhi patti se gaandhari sa ho gaya hoon,
nahin sujhta koi pathh muktii ka,
na hi dikhtii hai koi kiran roshni ki,
chaaron ore mere ghorr andhkaar hai,
saath hi phaili hain nirasha ki lataayen,
kiis tarha aaye prakash iss qile mein,
aur bataa jaye k tera lakshyaa yeh nahin,
kuchh aur hai,
kahin aur hai.

20120301
kyun
vyaqti kinchit yeh nahin janta,
woh duniya mein aaya kyun kar hai?
puraan kahte hain duniya mein har ekk ka hai apna sthan,
apna kaam,
par vyaqti iss saansarik mohjaal mein bhatktaa hai,
ulajhta hai,
bhool jaata hai iss bhramakk sansaar mein woh aaya hai kisi kaaranvash,
yeh bhii woh bhool jaata hai k uska lakshya hai niyat,
usse kuchh karna hai,
aata hai akele hi par aate hi bandh jaate hain anekon rishton k jaal,
aur inn jaalon mein bandha hua,
uljha hua woh ho jata hai lakshay se door,
pahunchta hai aise sthan par,
jahan par maatra andhera hai,
syahii hai,
par woh khush hai iss jaal mein,
iss andhere mein,
na jaane kyun?

Subscribe to:
Posts (Atom)