20120520

suno

raat k andhiyaare se nikal k dekho,

zindgii k asmaa pr ekk nyi ashaa ka suraj pukaar rha h kbse tumko,

beeti raat gyi,
beeti baat gyi,

suraj ko suno
kuchh nyaa buno,
kirno k sunhri dhaago se,
vishwaas k khaddon pr,
buno apne kal ka khaaka,

suraj h kah rha tumse
zindgii kah rhi,
tumhaare apne h kah rhe,

zraa dhyaan se suno,
tumhaara mann b h kah rha, socho mt,

kr dalo bs,
bunn dalo apnaa kal...
aisaa n ho derr ho jaaye...
yhi wqt h sahii...

umr k dusre mod pr sapney nhi bune jaate,
uss mod pr bs jeena hota h,
jaise-taise katt jaye,

uss mod pr marr chukey hote hyn sapney,

kyuk sapney bune jaatey hyn ateet ki zameen pr,
kalpnaa k dhaago se jo sunhri hote hyn,

jaise kaaya ksheen hoti jaati h, kalpnaa mrti jaati h.
saans chlti h...
aur jeeye jaate hyn...

20120515

aankhen

kaali bhurii sii aankhen... ankhen thii ya sitarey they shaayad, ya kahoon jugnu unheyn, shabdd hii nhin miltey unn ankhon k liye, so bass do aankhen thii, kaali bhurii si aankhen... kuchh alag sii,kuchh judaa sii, thii to issi duniyaa kii, koyi sapnaa nhin thaa, naa hii thii koyi kalpnaa, kaalii bhurii si aankhen... unn ankhon mein dherr saari kahaniyaan thii, ankahii, jo naa kabhii usney kahii thii, jo naa kisii ne sunii thii... ekk kashish thii ajeeb sii unmeyn, kashish jo parey thii shabdoon se... meraa unkaa koyi rishtaa naa thaa, naa hii woh merii purv.parichitt thii... bass hamm kuchh samayy saath chale they, kuchh samayy ke liye hamm sahcharr they... main aur woh kaali bhurii aankhen...

20120512

ladki

paidaish ke saath hi naam judaa shtree... phir beti... phir behan... badi huyi, ekk aur rishtaa judaa... patni huyi ek shakhs ki, aur phir maa... sari umr joojhti rhi... uss shakhs ki khaatir... apne bachchon ki khaatir... parivaar ki khaatir... jaise yeh dharti maa sahti hai sab kuchh, shaayad yeh prakritii hai... har ladki mein rha karti hai maa, maa ka dil jo komal hota hai... har dard sahti hai umr bhar, par woh ublti nhi jwalamukhi ki tarha, kyuki maa hoti hai ess dharti par ishwar ka roop...

20120505

woh ek ladki

woh ek ladki
darti h apne dil ki kiwad kholne se

woh ek ladki,
jiske pyazi labon pr ek shagufta si muskurat khilti h

woh ek ladki
khayalon mein khoyi-khoyi si jaane kya dhoondha karti h?
aksar maine raaton mein usse asmaa takte dekha h
yunhin muskurati hai
na jane kya dikhta hai usse wahaan taaron k sivay

woh ek ladki,
jiske chehre par uski kirdaar ki paakizgii ka noor jhalkta hai

woh ek ladki
jo khud mein hi zazb karti h nami khud ki ankhon ki,
bas kuchh sahmey sahmey zazbey
chupke.chupke jhanktey hain wahaan se

woh ek ladki,
dhaan-paan si,pyari si
goonchon ki qyaari si

woh ek ladki,
jiski bdi-bdi ankhon mein veeraniyan faili hain, kabhi kisi lamhey ek ajab si chamak kaundti hai
bas kisi lamhey

woh ek ladki,
kuchh sanzeeda si hain jiski nigahen,

jaise abhi mere hathon se gir kar yeh guldaan toota hai
kya uski khwabon aur hasraton ka bhi.....