20130119

ek rishtaa

Nnhe haatho se sbhi sukho ko batorna
dukh k palon mein urja se bhare haathon se mujhe dandhas dena
tumhare ankhon se chal mere hothon tk ana
ek muskuraht ka
kuch to h hm dono me rishtaa
hm dono ka saajha..

20130114

Aur aage badh jaana

Badal lo raasta apna
jb rishtey bojh ho jayen
judaa kar lo raah tum apni
kahin rishtey aansu na de jaayen
hai to yeh ekk sachchai
hum dono alag raahon k hain raahi
khayaalon mein bhi apni kbhi h nhi bnti
main chahun sach sun.na
jhootha sach ho tum kehti
yakinan hum dono hain anjaane
raah.e.zindgi mein mile hum kyun na jane
thodi der ko hoga dard mujhe aur tumko rishtaa tootne ka
magar
wqt ka marham sbhi ghaavon ko bhar dega
h shukhiya tumne di mujhe dher si khushiyaan
hongi chand kirchen daaman mein tumhari meri bheji
unhen kr dena dafan
aur aage raah badh jaana...

20130112

juda

Badal lo raasta apna,
jb rishtey bojh ho jayen,
judaa kar lo raah tum apni,
kahin rishtey aansu na de jaayen,
hai to yeh ekk sachchai,
hum dono alag raahon k hain raahi,
khayaalon mein bhi apni kbhi h nhi bnti,
main chahun sach sun na
jhootha sach ho tum kehti,
yakinan hum dono hain anjaane,
raah e zindgi mein mile hum kyun na jane,
thodi der ko hoga dard mujhe rishtaa tootne ka,
magar wqt ka marham sbhi ghaavon ko bhar dega,
h shukhiya tumne di mujhe dher si khushiyaan,
hongi chand kirchen daaman mein tumhari meri bheji,
unhen kr dena dafan,
aur aage raah badh jaana...

rishtey

Rishtey hote hain punji jeevan ki,yeh hi baandhe rakhte hain,dete hain aasra sbhi ko dukh mein chhat ki trha,pr yunbhi hota h,woh saathi,woh bharosa,chala jaata h,na jaane kahaan,khushiyan bhi udd jaati hain pankh lga kr,rishton ki tootan k saath,bachti hain to bs,yaadein aur nam si ankhen...

mauli

Mauli,ekk kachchaa dhaaga,toot jaata kitni asani se,lekin jb bndhta h kalai pr kai lapeton mein,ho jata h mazboot kitna,nhi tootta asani se,kyun nhi hota h aisa rishton k saath,woh b to ek dor jaisi hi,shaayad kam reh jaati hain lapeten vishwaas ki,pyaar ki,apnepan ki...

saanjh

Saanjh aur main akela,saath koi nahi,h to bs mera mann,saathi mera,koi chita si jalti h antar mein,dard ki cheekh h koi jo bheetar se baahar ana chahti h,kuch chubhta h toote rishtey jaisa,ekk peer ki nadi umadti h ankhon se,aksar sooni shaanjh yunhi beeta krti h...

20130110

manushya

Pujte pujte paashan shilaa ko,svaym ho gya prastar,aata ab koi bhav nhi antar mein,smbhavtah jam gyi hain anibhutiyan,barf ki tarha,shesh h shikhar tk jaane ki mahtvakanksha,shikar jiska koi gagan nhi,bs badha ja rha h marichika ki khoj mein,jaane woh surya kb udit hoga,jo is pratima ko pighla sakega,aur de sakega itna taap,k svayam ka spandan jaan rake,pta lage k woh ek manushya h,