20130928

Chal jaane de

Chal jaane de
Re mann
Laut chal
Apni kutiya ki taraf

Bahut gummkadi ho gyi
Bahut bhatak liye
Banzaaron k mafiq

Raah ki dhool se sani deh
Chand katrey namkeen pani k
Kadam bhi thake thake
Bojhil se

Abb tim tim krti hai
Lau

Re mann
Laut chal
Apni dunia mein

Ek sach

Ek sach
Jeevan ka sach

Log wazha nhi puchha krte
Bs nateeza dekhte hain
Kyun
Kaise
Koi nhi jaan na chaahta

Isliye
Bs
Dunia ko kuchh kr k dikhao

HBD

Beeta baras ek aur
Miley kuchh katu anubhav
Kuchh ekk madhur pal bhi judey
Smritii k kosh mein

Kuchh kaantey chubhey
To kuchh ekk phool bhi mehkey
Jeevan k path mein

Aaj judd rha
Ekk nav prishth jeevan granth mein
Likho iss par ekk amit ibaarat
Khincho ekk bimb khud ka
Aur bharo
Usko mann chahey rangon se

Jeevan path k is naveen varsh mein
Aap ka swaagat
Janam din ki dher si mubarak badd

20130926

Re mann laut chal

Chal jaane de
Re mann
Laut chal
Apni kutiya ki taraf

Bahut gummkadi ho gyi
Bahut bhatak liye
Banzaaron k mafiq

Raah ki dhool se sani deh
Chand katrey namkeen pani k
Kadam bhi thake thake
Bojhil se

Abb tim tim krti hai
Lau

Re mann
Laut chal
Apni dunia mein

Aksar yun hota h

Aksar
Yoon hota h
Mann k kisi kone mein
Chlta rhta h
Shabdon ko yun hi
Main jo bekherta rhta hun

Log kehte hain
Mujhe aata h hunar
Khelne ka shbdon se

Aur shbd
Kehte hain
Kyun var
Yrth krte ho hmen
Jbrn jodte todte rhte ho
Hamesha hi
Uljha kr gol gol pirote ho hmen

Aur main

Koi jwaab nhi hota paas mere

Aksar
Yun hota h
Mann k kisi kone mein

20130925

Udaas ho tum

khudd se door ho to udaas ho tum
dilaase ki zarurt hi kyaa
k udass ho tum
jeete to kisson ki duniyaa mein
to udaas ho tum
andhere mein rhne waalon ko dhundhle dikhte hain akash ujaalon mein bhi
sitaaron ka kyaa tumko
k udaas ho tum
tumhari duniya mein bikhri hain tamaam khushiyaan
par tumko kya
apne toote khilaonon k sang khelo
k udaas ho tum
tumhaara zikrr b ekk panne mein hogaa
n kuchh to ekk safaa to hoga
magar
kuchh bhigaa saa
tumhaare hi ashqon se
k udaas ho tum
waapsi hotii h unkii
jo chaahtey hain mann se aana
tum kyon lautoge
k udaas ho tum

Toote dhaage

toote dhaage nhi judte
judte h to ganth ki
badaulat
chahe kitni safai se joda jave chhune pr mehsoos hua krti h

tootey guldaan sajane k kaam
nhi aate

na hi tooti tasveer deewaron pr sajate hain

Manzill

zindgii bulaa rhi h
asmaa bulaa rha h
nigaaho k aaine mein
sapney jaisa kuchh h
badhnaa h aage tumhen
woh jo taare h
tumhaari manzill hain

20130923

Jee le zraa

bikhri hain khusbuyen tamaam
thaam le koi bhi ek dor
jee le zra

arzooyen udti hain
thaam unko baahon mein apne
jee le zra

raks krte hain saare khawb asma me khwahiso k
udne de unko
jee le zra

pukarte hain megh tammanao k
jhilmil krte
ja thaam le
haath unka
udd le jee bhar
jee le zra

kya hua k koi haath chhuta
kya hua ek ek sapna
toota
phir se bun naye khwaab satrangi baahen khol aur jee titli k maafiq zindgii
bhool mat
yaad rakh
tu hai muskaan
tu hai khushi
bss jee le zraa

Maji k jakham

maji k jakham
ab tak ristey hain
abhi bhi peer uthti hai
purane khandharaat se
Karaahtey hain
Chand khwaab murjhaaye huye
Niyatii hai
Yaa sazaa
Dard peeta  hai
Muskuraata hai
Mann

20130917

Khushi ka pal

khushi ka pal
lamhaa khushi ka
thaam lo tum aaj daaman isi ka
k
bani rahe yeh muskaan umar bhar
raho muskuraate tum har waqt har ekk pal

20130916

Kuchh anmane

Kuchh anmane
Kuchh udaas ho
Yu lgta h
H koi gamm
Ya tooti koi umeed
Essa lgta h
Kuchh katre
Aansu k hain
Ankho ki Koro pe
Ab chhalak jayeng
Esa lgta h

A dost mere
Mere anjane rishte

Ye h raah
Ye h safar jindgi ka
Thodi gard
Thodi muflisi
Tanik tootan dil ki
Hoti h

Magar

O mere andekhe dost
Ye chlan h
Ye riwaaj h dunia ka
Tum ko b sahne hi hoge
Saari dard
Tb hi to
Nyi subha
Nya ujala ayega

20130915

Ham insaan

Prakriti se hi paida hua tha woh
Par
Swaym ko sadaiv usney prakriti se alag maana
Ichhaon k aniyantrit pramaad mein raundta rhta prakriti ko
Chup rahi prakriti sadiyon tak
Sahti rahi aviraam aur
Shrikrishan ki trha krti rahi shishupaalon ko kshma
Aur jis din paap ka ghada bhara
Prakriti ke kop se koi na bach ska
Na maryadaon ko laanghne waale ham insaan..
Na hi isko chupchaap sahne waale ham insaan...

20130912

Bhookh

Bhookhi  bhikharan
Khoj rhi hai
Kuch b mil jaye
Bhukh bdi hoti
Woh pet ki ho ya
Jism ki

जीवन है क्या...

जीवन
है क्या
बंद मुट्ठी
या खुला हाथ
यह रहस्य है
या है एक खुली किताब

जीवन
है सागर की लहर में
है सूरज की किरण में
लिखा है पत्ते पत्ते पर
संगीत जीवन का
समाया है जीवन हर एक आयाम में
अपने में पूर्ण
सम्पूर्ण

जीवन
रुकता नहीं
ना ही डरता है
खुद को छुपाते हो तुम
उसके सामने
शायद डरते हो जीने से
क्यूंकि
जरुरत होती है मृत्यु की
जीने की खातिर

हर पल अतीत मरता है
वर्तमान साँसे लेता है
और भविष्य
आकार लेता है
वर्तमान से

जीवन की खातिर
तैयार है जीवन
बस
तुम नही हो।

20130909

So tu jaa

Jhoola jhulaun tujhe
Aa kareeb aa
Tera bachpan dilaun yaad
Aa kareeb aa
Mehkati thi har raat
Maa ki lori kaano mein jb padti thi
Woh beetey huye pal chhin
Phir jii paaun
Aa kareeb  aa
Ho chali hai raat gehri
Ab mund bhi le palken
Chanda bulaye desh apney
Chal
Ab so tu jaa..

20130906

Na jaane kyun

Na jaane kyun
kuchh ajnbi sa lga
Kureda to paaya k kahin gum gya tha
hota hai Aksar dil k rishton k saath Kho jaate hain Waqt k saath
Aur mann k andherey kone mein chupchaap Pade siskatey rhte hain

Chalo sajaate hain...

chalo sajate hain
ekk aur sapna
sapna jo ho jaye sach
na rah jaye bs sapna
chalo sochte hain
umar k tanik aage tk
jb tum thode aur bade hoge
aur
main ho jaunga thoda aur buddhaa chalo wqt ko le chalte hain zra sa aage ki orr
jb tum hoge apne kaam mein mashgøøl
aur main bhi lag jaunga apne rishton ko sawarne mein
chalo dekhte hain kya hoga us wqtt subha se lagna hoga ghar k kaam ko pura krne mein
aur phir bhaag na hoga roti k liye kuchh rupye kamaane ki khaatir pura din dhawaano k syaah ko sufed karne mein
taki jo ghar hai
aur kuchh jo sapney hain
unko sach ka roop de sako
na jaane kitne jhooth
mann ko maar k
jameer ko taakh pr rakh k
nibhaa rahe hoge
din bhar ekk alag sa hi roop liye huye
shaam ghar laut te huye dimag mein kuchh chal raha hai
shaayad ghar k logon k sawalon k jawab
aur kitna kam hai ab bhi dhan sapney ko sach banane ki khatir ghar aa sab jo bikhra hoga
usko sahejna
pet ki bhookh ko do roti k tukde dena
aur der raat aankhen band krna

aur main
apni kamjor motiya bindi aankhon k shabdon ko
ekk dairy par ek kalam se apney kamp kapate
jhur ridar ungliyon se uker raha hounga
tak rha hounga
tumhare chehrey ko
aur soch rha hounga
kahi dekha hai iss chehrey ko muskuraate huye
aur unhi beet te jayenge
lamhey
pal
zindgii
aur wqtt
bs chalta hi rahegaa...

20130903

Kabhi kabhi

Kabhi kabhi
Bahut yaad aati ho
Tum
Yun to hamesha hi paaya hai
Tumko sang apney
Magar
Udaas andheri raaton mein
Sir par haath pherti
Nazar aati ho
Tum
Hoon raah par zindgi ki
Magar
Jab bhi koi kathin kaam ho
Mushqil ho koi faisla lena
Saamney aankhon k aati hai
Tumhaari hi tasveer
Uss waqt
Mere hi saath hoti ho
Tum
Jab bhi
Udaas hoti hai zindgi
Hoti hai apnon ki thokron se chhalni
Apney daaman ki khushboo se
Un ghaavon par
marham lagaati ho
Tum
Basi hai dhadkanon mein
Tumari hi roop raashi
Bimb hoon main bas
Mujhey khud mein
Samaayi si nazar aati ho
Tum
Maa
Kabhi kabhi
Bahut....
Yaad aati ho
Tum...
Maa...

20130902

Tum

Muskura lo tum
Gunguna lo tum
Waqt hai tumhara
Sanwaar lo tum

H B D

Janamdin
Woh din
Jb aye dunia me
Aye
Saath laye
Kuchh chehron par khushiyan
Kuchh k diloon mein gham
Din beete
Mahine badle
Badli dunia bhi
Mgar
Din
Jb aaye dunia mein
Aata rha
Janamdin k saath
Umar badhti gyi

Samajh b

Is saal mile
Wo khushi
Jo beete barson mein
Ni thi mili
Chirag jalte rhen
Apney saang rahen