20140530

Hata do bojh

Hata do bojh ko
Bojh faishlon ka
Bas jaano lakshya ko apney
Aur badho aage
Apney bheetar ki sachchayi k saath
Ekk woh hi hai
Jis se kar sakte ho
Saamna har khatrey ka

Na hone do beetey kal ko
Khud par haavi
Kyuk ateet se hi darr panapta hai
Aur karta hai aahat,aur chotil

Hata do bojh tum

20140529

Woh ekk raat

Woh ekk raat
Bahut bhaari thi
Bahut bojhil
Zindgi lahuluhaan ho gyi thi
Aankhen pathra si gyi thi
Aur dil
Woh to bhool gya dharkna
Apney charam par thi dard ki intehaan

Woh ekk raat
Sannaate jangal mein
Khaamoshi k saath badhti jaati thi
Saarey apney haath thaame khade the

Aur sapney
Ekk ekk kar toot te jaate the
Jaise kaanch k bartan toota karte hain

Woh ekk raat
Til-til kar k mar raha tha
Andar se mann
Chhalni-chhalni ho raha tha
Andar se mann
Viraan ho chuki thi duniya

Woh ekk raat
Zindgi maut ki neend so gyi thi

20140503

Rishtey

sur saje na saje gunagunaate rahenge
dard mein bhi sadaa muskaraate rahenge

Saath chalte huye raah pe zindagi ki
Apney rishtey nibhaate rahenge

Daur khushiyon ka ho
Ya chale dard ki aandhiyan
Ho suraj khushi ka
Ya ho gham ki badliyaan

Apney rishtey nibhaatey rahenge

Hoga kabhi to mehrbaan woh khuda
Kabhi to sun hi lega woh apni sadaa

Yeh pal dukh k na rahenge sada
Phool mehkenge phir har jagha
Roshni hi roshni hogi

Us wqt tak hm apney rishtey nibhaatey rahenge