20140630

Ek kahanii

Ekk aur kahaani
Ekk seekh suhaani

Ekk tha gyaani,
Padh rakhey the saare granth
Tha usko har baat ka gyaan

Par

Uska mann kisi kaam mein ni lgta
Krta jb b koi kaam
Mann bhatkaata usko saare dhaam

Natiza

Kaam adhura
Asthir mann

Ekk dafaa woh kisi gaanv se gujar rha tha
Wahin gaanv k baahar ekk sant ka jhopda tha

Dekhaa unhen
Aur saari baat btayi

Sant usko le gye ekk jheel k paas
Chaand nikla tha,faila tha prakaash

Sant bole
Ekk chaand aakaash mein hai
Ekk jheel k paani mein
Mann tumhaara is jheel k chaand k jaisa hai
Gyaan to hai paas tumhaare
Par uska koi upyog ni
Bilkul jheel k chaand k jaise

Yeh chaand jheel ka
Hai ekk bhram
Yeh ni bhar sakta
Aasma k chaand jaisa
Duniya mein rang

Jheel mein patthar fenka unhone
Aur chaand jheel ka hilne lga

Bole
Tumhara gyaan aisa hi hai
Thodi si baat aayi
Hilne lgta hai

Apney gyaan aur vivek ko niyam se upyog karo
Thodi dikkat aayegi
Us se tum hargiz na daro
Thode wqt mein seekh hi loge
Sahi tarike se
Aur tab tum paoge
Lakahya subhite se

20140629

Woh ekk raat

Woh ekk raat
Bahut bhaari thi
Bahut bojhil
Zindgi lahuluhaan ho gyi thi
Aankhen pathra si gyi thi
Aur dil
Woh to bhool gya dharkna
Apney charam par thi dard ki intehaan

Woh ekk raat
Sannaate jangal mein
Khaamoshi k saath badhti jaati thi
Saarey apney haath thaame khade the
Aur sapney
Ekk ekk kar toot te jaate the
Jaise kaanch k bartan toota karte hain

Woh ekk raat
Til til kar k mar raha tha
Andar se mann
Chhalni chhalni ho raha
Andar se mann
Veeran ho chuki thi duniya

Woh ekk raat
Zindgi maut ki neend so gyi thi

20140628

Kisan aur bhagwaan

Ek tha kisaan
Kisi chhotey se gaanv mein
Ekk chhoti si jhopdi thi
Tha bahut hi dhaarmik
Magar
Aksar uski fasal kharaab ho jaati
Kabhi suraj ki tapish se
To kabhi baadh ki wazhaa se
Kabhi oley girne k kaaran

Kisaan bahut paresaan
Pahucha bhawaan k paas
Bola
Prabhuuu,aap ishwar hain,pr lgta hai k aapko kheti ki maalumaat ni,aap ek saal mauka dijiye k main jaisa chaahun waisa mausam ho,tab dekhiyega,

Bhagwaan bole
Jaisi teri ichchhaa,

Kisaan ne fasal boyi
Phir
Jab woh chaahta dhoop hoti
Paani barsta
Oley,baadh,tufaan,usney hone hi ni diye

Fasal badh rahi thi
Aur saath kisaan ki khushi bhi

Aakhir
Fasal kaatne ka samayy bhi aa gya

Kisaan khushi mann se kheton ko panhuchaa

Par jaise hi usne haath mein baaliyaan li

Ufffff
Andar to beej hi na the

Bahut dukhi hua
Bhagwaan se bola
Prabhuu,yeh kyaa hai

Bhagwaan bole
Yeh to hona tha,tumne paudhon ko sangharsh ka mauka hi ni diya,
Na tez dhoop mein woh tape
Na aandhi se jujhey
To yeh bas badhte gye
Aur andar se khokhle reh gye

Aandhi,baarish,oley,insey jujhtey huye paudha shangharsh krta hai,yehi usko shakti detaa hai....

Glass

Class mein ekk nayi teacher aayi thi
Sabhi bahut gaur se unki baat sun rahe the

Achaank
Teacher ne table pe rakha paani ka glass uthaaya

Aur puchaa
Btao,is glass ka weight kitna hoga?

Kisi ne bola,50 graam
Kisi ne 100 graam

Sabke answer sun ne k baad teacher boli
Agar koi bhi iss glass ko 5 se 10 minute uthaye rahe to koi farq ni hoga
Pr agar ise 1 hour tk uthana pde to?

Haath dukhne lgegaa,samvet swar se answer mila

Agar glass pura din uthaya jaaye to?

Haath sunn ho skta hai..

Teacher ne kaha
Bilkul sahi
Thik isi trhaa,agar hm kisi chhoti si problem ko le kr kuchh der tak chinta karen,to mann pr jyada bojh ni hoga
Par hm usi problem ko le kr pareshaan rahen,sochte rahen to,yeh jyaada takleef deh ho jayegi

Behtar hai,k hm jald upaay khojen
In problems ko mann mein ghar na banane den....

Raaste

20140601

राहगीर और बदली

राहगीर को
धुप की आँच से जला रही थी जिंदगी
और उसका वजूद झुलस रहा था
वोह तलाश रहा था
इक साया
इक ठिकाना
जहाँ थोड़ी छाँव मिल सके
तनिक देर ही सही
थोड़ी राहत मिल सके

राह रेतीली थी
और पाँव बेदम हो रहे थे
ऐसा लगता था
जैसे
सांसें बस
अब थम ही जायेंगी

उसी वक्त

इक छोटी सी बदली उधर से निकली
किसी बड़े बादल से आयी थी
शायद
आसमां की सैर को निकली थी
थम गयी
और
उस राहगीर को छाँव मिल गयी

फिर हुआ यूँ
जैसा कि होता आया है
चाह इन्सान की कभी बुझती नहीं
कभी कम नहीं होती

राहगीर ने अपनी प्यास बुझाने की खातिर
अपने सूखे पपडीदार होंठ घुमाये

और बदली
वोह नन्ही बदली
सोचा ना जाने क्या उसने इक पल को
फिर
वो बरस पड़ी
रिमझिम बुँदे बन कर

तृप्त हो गया राहगीर
और आगे बढ़ चला
अपनी मंजिल की ओर

और बदली
वो तो खत्म हो गयी?
नहीं
वो फिर रूप बदल आसमां को पहुंची

किसी और राहगीर की प्यास बुझाने की खातिर
छाँव देने की खातिर