20150928

फिर से सफ़र....

फिर से सफ़र..
सफ़र गैलेक्सी के दूसरे कोने और उससे भी दूर अंतरिक्ष तलक...
देखें कहाँ तक ले जाती है उस अनदेखे अपने की तलाश मेरी...
जो पुकारती है मुझको इन अँधेरी रातों में अपनी बाहें फैलाये...
सारा दिन काट लेती है जो इन सितारों के संग आँख मिचौली खेल के...
रात होते ही तलाशने लगती है मुझको और सुबकती हुई आवाज़ देती है...
वो आवाज़ गरम शीशे सी कानों में जब गूंजती है...
एक और रात काली रात कहती है
चल मुसाफिर
मंज़िल दूर है
ये तो बस मृगतृष्णा है तेरी
मरुभूमि में जल नही
बस उसकी मरीचिका दिखती है
दूर है वो स्रोत झरने का
मंज़िल दूर है तेरी
मुसाफिर
सफ़र ही तेरी मंज़िल है

Main

Aur samjhna bhi kisko
Aur kiski baat samjhna
Meri
Jo bas khwaab mein jeeta hai
Ekk andekha chehra
Jo hai hi nhi
Ho bhi nhi sakti
Na jaane kaise
Kaun se khwaab dikhye tumko
Jo koshish karne lgi tum
Us chehre ki jaghaa lene ki
Sab chhal tha mera
Jisne girafft mein jakad liya tumko
Tum
Jisne bas paal rakha hai palkon mein
pita ki laadli hone ka sapna
Jise darr lgta hai usse
Jisse khoon ka rishta hai
Hum
Bas kuchh pal the
Jab kuchh dard saajha huye the
Beet chuke hain
Kahin bhi nhin hain
Bas ek dhaaga hai
Toot ta nhi
Baaten hain jo zehan se mit ti nhin

Kyun

Main aisa hi tha na
Hamesha se
Bol na
Aisa hi tha
Kyun hoon aisa
Kaise hua
Koi wazha koi kaaran to hoga na
Ya yoonhi bewazha
Kya hota gar yoon tere janmdaata tere papa dekhte
Kya kahte woh tujhse
Air kya hota tera jawaab
Bta na
Kabhi kaha tha tumne
Btayi thi ekk khwaahish
Beeja tune us paudhe ko?
Keh de k mitti nhi mili
Jismen woh panap sake
Phal phool sake
Hwa bhi thi us beej ko bda hone layk
Keh de k na khaad tha,na paani
Boti kis umeed par?
Kehde
Air khud hi soch k dekh
Vigat mein
Anginat baar aaye avsar
Par na beeja tune woh beej
Sapnon ko bhi sansaar bhi sach hote dekha hai
Air tera beej sapna nhi haqeeqat hai
Boya hota to aaj usmen phool bhi hote
Tere hi shabd the na
Ekk murjhaya sadak par kuchla paudha air ekk maali
Maali to wahin tha hamesha
Tere hi pass
Par beeja nhi tune beej
Kal kal kal pe rahi taalti
Main to khair fair sahi
Tera main koi nhi
Par Jo apna tha
Sapna tha
Kyun bone se katraati rhi
Duji aankhon k aansu
Apni plkon mein le k bahati rhi