20160613

Benaami kavita

Sachche mann se dekhe huye swpan toot hi jaate hain
bikhar jaate hain hmesha hi yeh ret k mahal
Athak pryaason k baad bnta hai ek gharaunda
Aur ek lahar saagar ki sab kuchh mita deti hai
Waapas jaati huyi lahar avshesh bhi mita deti hai
chhor k awsaad,peeda,kuch pal aur aansu bahate chakshu

20160604

चेहरे

बेफिक्र चेहरे,फिक्रमन्द चेहरे
झुंझलाए चेहरे,मुस्कुराते चेहरे
चन्द चेहरे बेज़ार से,कुछेक बेमिसाल
कुछ है घबराये से,कुछ हैं मुतमुइन
थके हुए चेहरे भी हैं,तो हैं ताजादम भी
इक हुजूम लोगों का,आसपास हमेशा ही
तिलस्मी लोग,तिलस्मी चेहरे
सब ही साथ,पर कोई साथ नहीं

Ishq

Ishq ki barsaati mein dubke do log
ishq hai ya tapish
unjaani duniya ko jaan ne ki khwaahish

Naadani hai shaayad
ho hi jaati hai aksar
Zarooraten bhi na....

Jise log ishq kehte hain na
Meri alag hi theory hai
Naye jawaan hote jism au mann
Talaashte hain ek opposite pole khud se
Jaan ne ki khaatir,kuchh zarooraton ki khaatir
Dekha hai maine laal doron ko ankhon mein aate kisi ko dekh k
Honthon k shabdon ko sukhe halak se neeche utarte huye
Zaroorten bhi dekhin hain
Au dekhen hain milan bhi
Kuchh bhi nhi dikha mohabbat jaisa
Bas zarooraton ka wqti naam hai aaj ishq
Roj hi badlte dekhta hoon chehre isq k

Imaaraten

Imaarat
Dekhi to hogi bante huye
Aksar raahon se guzarte huye
Dikh hi jaati hain banti huyi imaarten
Gaara,mitti,cement, ret aur saryion ko
Inch inch judte huye,upar uthte huye
Aur kuchh bhi hota hai kya
In imaaraton mein
Innton ko ret cement k mixture se jod k banti hain na yeh imaarten
Mazbooti ki khaatir kahin sariye bhi hote hain istemaal
Phir in deewaaron k upar concrete aur sariye se banaate hain chhat
phir diwaaren au unpe chhat
Are haan
In deewaaron me hote hain darwaaze au khidkiyaan
Taaki aati jaati rahe hawaayen au log bhi

Inhi imaaraton mein jo hote hain na
Flats
2bk,3bk
Rehte hain log,au unhin darwaazon se aate jaate hain
Tamaam rishte bhi rehte hain inhi mein

Aur jab aata hai ek bhukamp
Dol jaati hai dharti
tab kuchh imaaraton ki deewaaron se kuchhek innten sarkne lagti hain,daraar aa jaati hai
au phir ek ek kar intten girti hain
Au Imaarat bn jaati hai khandhar
Saare rishtey tab namaalum kis or chale jaate hain
shayad nyi imaraton ki or chal dete honge unko gulzar krne ki khaatir...

Yoon bhi hota hai kabhi kabhi
Dhahti huyi imaaraton mein chand log reh jaate hain
Dafan ho jaate hain
Apney sapnon k saath

Aisi hi ek Imaarat thi,kuchhek ssal pehle
Kisi ne bnaayi thi,bahut hi lagan se,
Apnon ki khaatir
Sajaaye the anginat khwaabon k taare
Uski chhat au deewaaron pe
aalmariyon mein sajaye the
Lamhon k moti se bane showpieces
Khoobsurat se

Ek raat yoon hua jaise pairon k neeche jameen hilii
saari Imaarat dhah gyi
Aur woh usi mein dab gya
Chikhta
Koi bhi to na tha

Kabhi kabhi mera guzrna hota hai us jagha se
Malba aaj bhi bikhra hai
Innton k beech dikhta hai ek kshat viksht jism bawle ka