20111130

khamoshi ki awaaz

goongi khamoshi ki awaaz..
waqt ke ghane jangal mein..
gunzti hai aksar,
ghane jangal ki ek darakhhat se woh sadaayen deti hai,
kai baar uss jangal se hokar gujarna hua hai apna,
kai baar uss awaaz ke dard ko apne dil mein mehsoos kiya hai hamne.

20111129

raat

raat bistarr par lete-lete chhat par nazarr daurayi,
asmaa ke saare taare meri chhat par aaye the,
yaad aaya maine hi to unhen bulayaa tha,
par chaand na tha,
usko meri baat yaad na rahi ho shaayad,
kal ki poori raat maine,
taaron se baat kii.

20111128

magar

muhbbatt ki mehak se mehake gulshann,
thik hai magar,
tera har baar bin baat ke rooth jana bura lagta hai,
yun to har roz mujhe chhukar guzar jaati hai hawaa,
par us hawaa mein mehak teri na ho
to bura lagta hai,
yeh maante ke ham intzaar mein zindagii beeta denge lekin
tera mujhse mil ke bichhrnaa bura lagta hai,
kayi baar maine kaha bewafaa tumko,
yahi baat jab tum kehte ho
to bura lagta hai.

20111127

yunn lagta hai

EHSAAS ka ek hissaa marr chukaa hai shaayad,
yunn lagta hai,
JAZBAAT to aaj ekk kissaa bann chukaa hai shaayad,
yunn lagta hai,
woh dinn bhii the jab manzill ke liye ham saath nikle the,
aaj woh manzill bann gayii rastaa,
yunn lagta hai,
ekk daur thaa tumhari baaton mein,
tumhari saanson mein bhii main hi thaa,
ab bhoole se bhii zubaa par mera naam ataa ho,
yunn lagta hai,
kabhii jab tum the paas mere,
yeh zamii bhii meri thi,
aasma bhii mera hi tha,
yunn lagta hai,
jabb bhii jhaankta hoon apne dil ke aaine mein,
woh ek kone mein ekk saaya tum jaisaa hai,
yunn lagta hai,
beete lamhon mein,
shabb ke andheron mein,
mere khawbbon mein,
inn nigaahon mein abb takk tum hi basii ho,
yunn lagta hai.

20111124

cigarette aur zindagi

cigarette aur zindagi, jis tarha kash dar kash chhotii hoti jati cigarette, thik usi tarha zindagi bhi chhoti hoti jati hai, har kash ke baad muhh se nikla dhuaan gumm ho jataa hai aakash mein, thik usi tarhaa zindagii ka har beeta lamhaa kho jataa hai anant mein, cigarette mein jo dikhti hai raktim aabhaa, thik usi tarhaa zindagii mein vartmaan bhi hotaa hai taptaa hua, cigarette khatmm hone par jaise bach jati hai raakh, thik usii tarhaa zindagii jabb khatmm hoti hai to chhor jaati hai yaaden bas yaaden.

Tanhaa

tu nahin hai, par teri yaaden, har pal-chhin saath rahtii hain, merii nazaren har waqt terii hi talaash kartii hain, pataa hai mujhko mere hamsaaye, tu mera abb na rahaa, ham mein jo ek rishte jaisa tha, dor uski toot chukii hai, raaste bhii hamne apne badal diye hain hamne, tujhko terii khushiyon ka jahaan mil gaya hai shayad, maine socha hai ke abb yuhin basar karoon zindagii tanhaa.

zindagii

pall bhar ki derii ho jatii hai, aur ojhall ho jatii hai, kab milegii, milegii kahaan, pataa nahin ye, bas khojta phirtaa hoon, yun to kayi baar lagtaa hai unn chanaron ke beech chipii ho shaayad, kabhii jharnon kii aawaz sunkar lagtaa hai, jaise bulaa rahii ho mujhko, jab sardiyon mein aas-pass kohre ki ghanii chaadar hoti hai, mahsoos kiya ke woh mujhe chhuke guzari hai jaise, aksar suntaa hoon logon se, door pahadon ki waadiyon mein pukaartii bhataktii phirtii hai, aakash ke parindon se askar uskii sadaayen aati hain, yun hi mere saath hokar bhii nahiin hotii ye meri zindagii, aaj bhii main talash kartaa hoon iski duniyaa ke sannate mein.

aa chalen

iss pattharon ki bastii mein teraa guzaara kaise ho, patthar ke to hriday hi nahin, tu alag sa hai, yeh basti, yeh patthar tujhko nahi jeene denge, teri har baat par, har soch par, jahan wale taana denge, tu kya kar saktaa hai? bas chal meri ungli pakad le, aa donon chalen, aisi duniyaa mein jahaan tere ehsaas ko koi to samjhe, aa chal donon chalen, jahaan dil ke rishton par koi taana na de, aa chal ke ek alag si duniyaa khojen, jahaan ham jaise kuchh aur milen, ye duniyaa to bas duniyaa hai, aa chal donon hi yeh duniyaa chhor chalen.

20111123

kiskaa lahoo

galii mein bikharaa hai lahoo jahaan tahaan, hai kiskaa lahoo ye, kya khuda ne iske liye hi insaan banaya tha, aaj insaan ko dekh kar khuda, khud hi lahoo ke aansoo rotaa hoga, aur sochtaa hoga, kya soch kar maine insaan banaya tha, usko to maine diya tha dil, jismen maine daale the jazbaat, to kya woh dil ab patthar ka ho gayaa, woh saare jazbaat kahaan gumm ho gaye, aaj khuda bhi shaayad khud par sharmsaar hogaa.

begana shahar

khwaab se bhari nazaron walaa, hai beganaa yeh apnaa shahar, kuchh khushiyan hain, kai hai gam, yahan mere apne bhi hain, kuchh paraaye bhi rahte hain yahaan, kuchh-ek palken bhigi-bhigi si, kuchh aankhon mein tairtye hain sapne, hai kuchh dil doobe andheron mein, kai-ek aankhon mein beeta waqt dikhayi detaa hai, kai-ek apne hi kandhon par apne hi armaanon ki arthi uthaye phirte hain, kuchh aisa hai meraa ye beganaa shahar.

mere jaise

akelaa hi bhatktaa phirtaa hoon binaa wajah main, meri nigaah naa jaane kyaa talaash karti hai, shahar ki bhiddh mein anek chehre, kuchh jaane se, kuchh pehchaane se lagte hain, kai to lagtaa hai jaise beete waqt ke dost hain, sabhi ki aankhon mein ek talaash si dikhti hai, har ek shakhs kisi talaash mein bhatktaa hai, mujhe mere shahar wale apne jaise hi lagte hain.

20111118

ZINDAGI

zindagii, kya hai zindagii? koi kahta hai "pyar hai zindagii" kisi ke liye paisaa, kuchh ka kahna "rishte hain zindagii" SOME SAYS "LIVING IS LIFE" kuchhek to bas jeeye jate hain apni aakhiri saans tak unhen nahin pataa hota "zindagii hai kya" mausmon si badle zindagii, har pal har ghadi badle apnaa roop, kabhii to ye lage "apni hai zindagii" kabhii lage "begani si zindagii" abhii lage ke zindagii ko ham samajhte hain, duje pal ek aboojh pahelii si dikhe apnii hi zindagii, saagar ki gahrayii se bhii gahrii hai zindagii, sthirr avichall kabhii paya maine, nadii ki tarha kabhii chanchal hai zindagii, kabhii paya "badi khubsurat hai zindagii" prakritii ki tarha, kabhii milii hamko UGLI si zindagii...

MANUZ

SAMAY;
kabhii na ruktaa, sadaa hi chalta rahta ek hi raftaar se, ZINDAGI;
chalti rahti, bas chalti hi rahti,
MANUZ;
manu ki santaan, hameshaa hi pisataa rahta apnii hi ekshaaon ki paaton ke beech, asantulit, asantushat sa, sadaa hairaan, pareshaan sa, ye pareshaaniyan unkaa kaaran woh khud hi to hai, jaante bujhte ki ekshayen asimit hain aur uska jeevan simit.

tanhai

jab bhi tanhayi mein hota hoon,
khud apne aap par naashad sa hota hoon,
parchhaayi sa tumhen apne paas paata hoon,
sochta hoon
hameshaa unhi jaagta hi rahoon,
kyuki
tumhara aana ab mumkin hi nahi,
par unhi raaton mein aksar
chaand mein tumhen khojta phirta hoon,
ki shaayad wahin kahin tum mil jao
saath tumhare
mujhe shaayad
meri neend waapas mil jaaye
tumhari god mein sir rakh kar
shaayad mujhe neend aa jaaye.

20111107

maa

aate ki loi ko chakle par rakhkar belan se belti hui MAAN gungunati hai koi geet uske chehre par tab ubhar rahe hote hain kai tarha ke bhaav maano woh aate ki loi nahin bel rahi ho prithvi ko woh prithvi ko loi ki tarha belkar pakana chahti hai suraj ki bhatthi mein aur hamesha ke liye mita dena chahti hai bhookh ki peeda pata nahin kabse nirantar jari hai MAAN ka prayas jab ki ab bhi jyon ki tyon barkarar hai apni poori golai mein yeh prithvi suraj ki aag aur pet ki bhukh magar sabse badi baat ye hai ki in tamam chizon ke saath zinda hai MAAN ki koshish umminden aur uske honthon par thakan mitane wali geeton ki gandhyukt mithas bhari gungunahat

zindagi

zindagi ki kitaab apni jo hamne
aaj padhnaa chahaa kuchh bhi tona payaa usme
har page sada thaa
har harf dhundhla thaa
uyn lagtaa hai
kai baar jo maine ise padhne ki koshish ki har baar vrk dhundhle hote rahe
aaj ye kitaab sada si nazar aati hai

khwahish

khwahishen bahut si hoti hain,
zaroori to nahin
har khwahish poori hi ho.
apne bachpan mein maine chaand ki khwahish ki thi,
aaj tak woh khwahish adhoori hi hai.
abhi tak na jaane kitni khwahishen ki,
kuchh ko payaa,
kuchh ko pa ke kho diya,
kuchh ek aaj bhi mere saath chalte hain.
jo mil gaye,
unhen apnaa maana
jo raah mein kho gaye,
juda ho gaye
kabhi unka khayaal bhi mann mein aata hai.
jo adhoore hi rahe unka khayaal ab main nahi karta
kyuki aaj main maanta hoon
ZINDAGI HAI KHWAHISHH