Neend se jaago
Aur poorey kro
Un khwaabon ko
Jo pltey hain
Mann ki talhati mein
Sawaro aaj ko khud se
Apney kal ki neenv
Aaj hi rakh do
Apney haath ki lakeeren mat dekho
Khud hi khud ka muqqadar likh dalo
Neend se jaago
Aur poorey kro
Un khwaabon ko
Jo pltey hain
Mann ki talhati mein
Sawaro aaj ko khud se
Apney kal ki neenv
Aaj hi rakh do
Apney haath ki lakeeren mat dekho
Khud hi khud ka muqqadar likh dalo
Sitaron ki dharti
Mil jaye gar kahi
To dhundna
Wo sitaara jo sbse jiada roshan ho
Jaana kareeb uske
Tum paoge
Ek ajab sa ehsaas
Khud k bheetar
Lagega yun
K jaise purani pehchaan ho tum dono mein
Lgega ek apnepan k jaisa kuchh
Pta h kyun
Kyuk
Woh jo sitara hai
Koi
Aur nhi
Woh
Tum khud hoge
Sbse jiada chamkta sitaara
Dhrvtaara
badi thokaren hain khai
hm ne
nibhane mein
dil k rishtey
unhen kya kehte
khud ko badal liya ham ne
Jaagta hu
Aur talash krta hoon
Ek tukda
Mera hissa
Janta hu jbk
Main b
Meri lakeero meiwo ni h
भाल तिलक
अधर बन्सरी
उर बैजन्ती माल
है नटखट बड़ा
यशोदा का गोपाळ
विराजे हर एक मन में
कान्हा
नन्द का लाल
Chup kar
Bahane band kr sare hi
Tujhse bhi jiada
Gumzada chaand h
Sari shab dhundhta
Phirta hai
Uska sitara
Kho dia h usne
Sun ri pawan
Mile gar
Shahzadi meri
To us se kahna
Jis baag mein tum aksar jaati thi
Jaha gujrta tha tumhara wqt
Gulon aur titliyon k saath
Kuchh murjha gya sa hai
Khusbooyen gum hai
Panchhi b ni aate
Nahi nahi
Re pawan
Tum jana jb bi
Gudia k ganv
Use chu k jb gujro
Gulon ki mehak se saja dena usko
Uske muskaan ki khushboo
Mujh tk pahuch aayegi
खिलखिलाते मुस्कुराते
खुशीयाँ बिखेरते
पल
कुछ कहते
कुछ अनकहे
पल
रह जाते हैं
कोटर में
और
परिंदे
उड़ जाते हैं
कुछ भी
ठहरा नहीं रहता
बढता रहता है
आगे की ओर
निरंतर
लगातार
क्योंकि
बहना ही ज़िदग़ी है
Bno baarish ki phli boond
Jo lati hai
Nya ulhaas
Nyi umang
Jo lati hai murjhaaye pedon ki khaatir haritima ka swapn
Haan
Phli boond banna hai duskar
Woh tapti dharti ko chhuti hai aur bhaap bn jaati hai
Magar
Khud ko mita kr
Dharti ko sheetal kar jaati hai
कुछ कहते थे लोग पुराने
कहते थे छोटी छोटी बातें
बातें छोटी थीं
मायने बड़े होते थे
मगर
कौन था सुनता
उस वक्त
आज भी सुनता है कौन
सभी सीखते हैं
ठोकर खा कर
ज़िन्दगी...
बता जरा.....
मुझसे तेरा रिश्ता क्या ह....ै
दोस्त है मेरी
या...
लगता है कभी
मेरे साथ है तू......
सुबह से शाम तक
मुझको थामे होती है....
शाम से रात तलक
मेरे साथ होती है....
मगर...
एक राही की तरह...
जो साथ तो होता है
लेकिन...
बस होता है.....
Chalo dhundhte hain
Woh beete din
Jab school ki chhuti k baad
Tum muskurati hui aati thi
Aur puchhte huye k kuchh naya hai kya?
Us saamne waali rack ki or badh jaati thi
Har ekk dibbey ko khol kar dekhti thi
Yeh doll bdi pyaari hai
Kitne ki hai?
Puchhti thi
Kuchh farmaishen karti thi
Woh chhoti waali gudia
Durga k mukhautey
Ganesh aur na jaane kyaa kyaa
Har waqt ekk smit si muskaan hoti thi
Ab nahi dikhti
Shaayad mann k galiyaare ki akhiri andheri kothri mein kho gayi hai
Ya
Kuchh aur hi baat hai
Shaayad main hi badal gya hoon
Asma mein chaand hai
Aur ankhen bhi hain thaki
Chlo mundte hain plken
Aur sanjote hain kuch sapney
Bhule huye bachpan ko
Chalo sapnon mean hi jeete hain
Gungunaate hain wohi geet
Jo gaate the bachpan mein
Chalo mundte hain palken
Aur kuchh khwaab sanjote hain
Teri pyari si muskaan
Par main nisaar
Kaise main bataun
K
Tujhse kitna hai pyaar
Tu kya hai meri khatir
Shabdon mein bata ni sakta
Tera udaas rhna
Main sah nahi sakta
Bas bta bhar de
Kyun hai kumhlaya
Meri gudia ka chehra
Hai woh kya gam
Jisne tujhko hai ghera
Kahaan kho di hai
Apni hansi tumne
Bta to sahi
Chal mil k khojtey hain
Rishtaa dharti se aakash ka
Rishtaa phool se khushboo ka
Rishtaa dil se dharkan ka
Rishtaa aankhon se sapnon ka
Chalo
Banaye rakho is rishtey ko
Aur
So jao
N sweet waale dreams mein
Kho jaao
Kal subha ko vaapas a jaana
Bt
Abhi bas sleep only
No excuse
No bahaana
11 se pahle
Eyes close
N so jaana
bno baarish ki phli boond
Jo lati hai
Nya ulhaas
Nyi umang
Jo lati hai murjhaaye pedon ki khaatir haritima ka swapn
Haan
Phli boond banna hai duskar
Woh tapti dharti ko chhuti hai aur bhaap bn jaati hai
Magar
Khud ko mita kr
Dharti ko sheetal kar jaati hai
Raat gungunaati hai
Bitia ko bulaati hai
Saja rakhey hain teri hi khaatir
Sapney usne
Unhi sapnon ko dikhana chahti hai
So
Band karo sochon ki kitaab
Kal k liye
Moondo palken
Aur kho jao sapnon mein shab k liye
Sab mng ho jaata h
Har kaam aasan ho jaata h
Hote hain har ek k paas
Wohi 24 hours
Aur unhi busy hours mein se
Khushiyon ki khaatir wqt nikal hi aata hai
Raat ka wqt
Asma me chaand
Aur
Uski ekk hi guzaarish
Mund lo palken
Kyuk
Usko bitia ko sotey huye
Dekhne ki chaahat hai
Chal ab soja
Sapnon mein kho ja
Milenge wahaan
Woh log
Jo hain tum jaise
Khushi k pankh honge
Udna tum mann chahe jaise
Chocolete k phool honge
Icecream k khazane
Ab to mund le tu
Ankhian
Milenge
Sapnon mein
Khushi k khazane
आ करीब
के
गले से लगा लूँ तुझको
और माथे पर चूम कर
एक बोसा दूँ
समेट लूँ
बस एक पल को
तुझे अपनी बांहों में
अजीब शक्स की
ख्वाहिश भी
अजीब होती हैं
दा
डायरी
और
बिट्टो
एक रिश्ता
एक अनदेखा
अनजाना शख्स
एक कुछ लिखी इबारत
एक मासूम सी
प्यारी सी लडकी
बंधे हैं
एक डोर से
डोर
रिश्ते की डोर
कोई ताल मेल नही
एक चालीस का
अजीब सा शख्स
एक पीले पड़ते पन्नों का ढेर
एक झोंका खुशबू का
बंधे हैं
रिश्ते की डोर से
कोई झांकता है
यादों के आईने से
धुंधली आँखें
कोशिश करती हैं
उसको पहचानने की
आइना झूठ बोलता है क्या
ना जाने क्यों बड़ी सूनी लगती है जिंदगी
न जाने क्यूँ लगता है कि
कुछ खो गया है
तलाशता हूँ
दर बदर
एक परछाई का पीछा करता हूँ
जिसकी न कोई शकल है
न ही है वजूद उसका कहीं पर
मगर
तलाशता हूँ
उसको
न जाने उससे मेरा रिश्ता क्या है