20140331

Akhbaar ki khabaren

Ekk majdoor
Bhookh k maare mar gya

Pichhle saal ki baaddh mein
Ekk jana beh gya

Loo chali ekk jor ki
Aur ekk aur tapak gya

Ekk chhote se dhandhey se
Uski chal rahi thi zindagi

Na jaane kyun
Woh rail k neechey kat gya

20140328

Aakhiri kisht

Aakhiri kisht
Saanson ki

Akhiri kisht
Jeevan ki

Ji raha tha
Main jisko

Udhaar k sapney

Udhaar ki khushiyaan

Lo

lauta raha hoon

Poori tarha to nahi

Shaayad sambhav bhi nahi

Chuka paana
Tum sab ka rin

Nikal raha hoon

Apni anant yaatra par

Alvida

20140326

Dua

Kisi tarhaa siye the jhakham mazi k

Nasoor pe lamhon k
Marham rakha hi tha

Udhed dala wqt ne phir ek ghaav ko

Phir ek dafa maine maut ki dua mangi

Adawat

Tu bata hi de aaj mujhko
Hai kya adawat teri kismat meri
Khojta hoon jab bhi koi ek kaaran
Muskurane ka
Khadi ho jaati hai tu aaina lekar

20140320

Talaash

Sochta hoon
Ekk baar phir se
Nikalun
Zindagi ki
Talaash mein

Sochta hoon
Raah mein
Phir koi rishtaa
Na mile
To behtar ho

20140317

Beeti holi

Woh
Jo umadta hai
Mann ki gehraiyon mein

Par

Paar nahi kar paata
Chauhaddi deh ki

Hai koi hasrat
Jo bhar deti hai
Haraarat se mann ko

Angdayi leta hai
Mauasam mann ka

Yaad aata hai
Beeta waqt

Saalti hai
Yaad kisi apney ki

Holi yaad aati hai
Beeti hui

Nayi holi

Ab koi nhi khadkata door
Na
Koi dost chup k
Karta Rangon ki bauchhar na
Halla huriyaaron ke
Ab kaan ko sunaayi dete na
Rang bhare haathon se
Koi ab jakdta na

Sajaa k dhar dete hain
Gulaal tashtari mein
Fiqr hoti hai
Anchhuyi na reh jaaye

Ab nahi aati pados se
Gujiya talne ki khushboo
Sab readymade hi aa jaata hai

Ab fursat kahaan kisi ko
Holi dehan k waastey
Bas AC caron mein bachchon ko bitha
Dikha dete hain

Lgta hai
Koi tyohar nahi
Museum mein rakhi koi cheez hai
Jo bas dekhne ki khaatir hai

Shaayad
Soch kund pad gyi hai

Akhir
Budda bhi ho chala hoon

20140312

माँ

माँ
तू बहुत याद आती है
तेरी हाथों ने दी थी जो थपकियाँ
आज तक उस छुअन की महक ताज़ी है
माँ,तू बहुत याद आती है

तूने ही सिखाया मुझको चलना
गिरना और गिर के सम्भलना

ऊँगली थाम के लिखना सिखाया
लोरियाँ गा के मुझको सुलाया

जब भी हुआ मेरा मन बोझिल
तूने तान दिया अपने ममता का आँचल

जब कभी बहे मेरी आँखों से आंसू
लगा सीने से तूने ही मेरा हौसला बढाया

आज भी तू न होक भी मेरे साथ है
हूँ अंश तेरा ही
मेरी हर साँस से जुडी तेरी याद है

तेरी ही गोदी मिलेगी मुझे हर जनम में
इसका मेरे मन को विश्वास है

कानों में अब भी लोरी तेरी गूंजती है
माँ अब भी मुझे तू बहुत याद आती है

माँ

हाथ की लकीरें

मुझ फ़क़ीर से क्या मांगते हो....
मैं तो खुद दर दर मांगता फिरता हूँ..

भटकता हूँ बियावान में
एक मरीचिका की तलाश में...

नही गिला कोई मगर
हाथों की लकीरों से....

Aksar

aksar sochta hoon..
kyaa yehi jeevan h?
kyaa h ismen?
wahi subah.o.shaam
wahi din aur raat
suraj ki kiranon k saath shuru
hota h nav.divas
wahi surkhiyan akhbaaron ki,
wahi tota.chashm chehron k
beech bit.ta wqt
wahi chashni mein doobe matlbi
shabd
roj bs celndr mein tareekhen
bdal jaati hain
aur thodi si umr ki sfedi badh
jaati h
jo jhalkti h baalon se
ekk aur din
saansen anvarat apni hi raftaar
se chalti hain
sochta hoon
kb tk?aisa chalega,

Talaash

Khoye shabdon ko talaash karta hoon

Hoon adhura insaa
Kisi poorey ki talaash karta hoon

Suna hai khuda ne banayi yeh qaaynaat saari
Main usi ekk khuda ki talaash karta hoon

Chaahta hoon main jaan na gunaah apney
Khud k adhoorey pan ka kaaran talaash karta hoon

Hoon adhuraa jo phir kyun diye mann mein Zazbaat aur tammannayen
Tu hi bta o uparwaaley
Main kisi aur se nahi
Tujhse sawaal krta hoon

Tu bhi waaqif hai k kitni raaten
Ashq aankhon mein bharey main bihaan karta hoon

Kyun dikhayi tune mujhey woh ujaalon ki basti
Do jahaan waale main tumse sawaal krta hoon

Main to khush tha
Jee raha tha andheri duniya mein
Tuney sapney kyun dikhaye
Sawaal karta hoon

Aaj bhi talaashta hoon apni nanhi gudia ko
Jo pukarti thi mujhko
Aksar raaton mein

Aaj bhi ferta hoon apney bagal k khali bistar ko
Aur aaj bhi raaton ko main siskta hoon

20140309

Ekk tha lakadhaara

Ekk tha lakdhara
Jangl jata
Lakdiyan kat ta
Phir
Shahar ake
Unhen bechta

Kisi tarha
Ekk june k khane ka jugad ho pata

To
Dheere dheere
Uski kulhadi bhi bhodhri(bina dhar ki)ho chali

Paise bachte tab to dhar lgti

To
Lakdi kaatne mein bhi jiyada mehnat lgti
20 baar kulhadi lgti
Tab jake kahin ekk aadh lkdi kat ti

Bda pareshaan tha

Uske ghar k pass hi ekk nai(baal kaatne waala)rehta tha

Usne us se puchha
Dost,apne ustrey(jis se nai shave karta hai logon ki) ko dhaardaar kaise bnaate ho?

Nai muskuraya,bola
Nadi se pathar maang k laata hoon,ustra ragdta hoon,bas

Lakdhare ko yeh baat samajh aayi

To agle din
Woh nadi ko gya
Pahuch k bola

Ndi maa,pathar de,kulhadi tez karni hai

Nadi ne use ekk patthar dia
Aur
Wahi kinare aam k ped ki jadd pe pattar tika k
Nadi k pani mein paanv tika k
Kulhadi ki dhaar tez karne lga

Achaanak........
:)
Ekk machhli tairti huyi aayi
Uske pair se takraayi
Lakakdhare ko lga
Koi saanp hai
Woh ghabra gya
Kulhadi uske haath se chhut gyi

Kulhaadi ped se takrayi

Ped cheekh pda

Usney ek do kachchey aam lakadhaare k sir pe de maare

Par

Uska nishaana chuk gya

Aam paas mein daane chugti murgi k chonch pe ja lge

Murgi ne aav dekha n taav

Bhaagne lgi

Saamney laal chintiyon ki bobiy (ant house) thi

Usney chonch bobiy mein ghusaa di

Chintiyon ko lga

Kisi dushman ne hamla kar diya hai

Woh idhar udhar bhaagne lgi

Paas mein ekk monkey dhoop senk rha tha

Chintiyaan us se ja chipti

Bandar dard k maare cheekhta hua kheton ki taraf bhaaga

Khet mein ekk donkey ghaas kha rha tha

Bandar ne use kaat khaaya

Donkey ne tilmilatey huye dullatti maari

Dulatti kele(banana) k ped ko lgi

Woh saare gir padey

Unmen se ekk ped par nanhi si chidiya rhti thi

Ped girey to uska nest toot gya

Maarey gussey mein woh udi

Nadi mein ekk elephant bath kar rhaa tha

Chidiya uske kaan mein ghus gyi

Elephant to mad ho gya jaise

Woh nadi se nikal bhaaga

Raaatey mein ekk buddhi aurat ka ghar tha

Elephant uski jhopdi ko raudta chala gya

........
Old lady haath mein danda liye huye elephant k paas gyi

Boli
Kyun re,tune meri jhopdi kyun girayi?

Mere kaan mein chidia ghus gyi thi

Woh chidia k paas gyi

Boli
Kyun ri,tu hathi k kaan mein kyun ghusi
?

Donkey ne mera ghosla kyun toda?

Old lady donkey k paas gyi

Donkey ne monkey par saara iljaam daal dia

Monkey ne laal chintiyon par dosh madha

Lady laal chintiyon k paas gyi

Chintiyon ne bola

Murgi ki galti

Murgi boli

Ped ne aam kyun maarey

Ped bola

Lakadhaarey se pucho

Usney mera badan kyun chalni kia?

Lakadhara
Bechaara
Maasoomiyat se bola

Na machli pair se takrati
Na aisa hota
Saari galti machhli ki

Ab
Sabne mil ke us machhli ko pakda

Sab bole

Isne hmko khoob ldaya,nuksaan kiya
Isko sazaa milni chahiye

Ab kyaa ho iski sazaa?

Sab sochne lge
Isko garam pani mein daal dete hain

Ab sawaal utha

Garam pani kahaan se aaye

Old lady boli

Meri jhopdi mein ekk matka hai

Usmen pani bharte hain

Chulhey pe rakhte hain

Machhli rakh k nichey se aag lga dete hain

Sabki sahmati bni

Phir

Donkey matka laaya

Murgi chulha laayi

Elephant lakdi le aaya

Matke mein pani bhara gya

Machhli ko usmen daal diya gya

Makta chulhey pe rakha gya

Lakdi lga di gyi

Ab lo

Chulhaa jale kaise?

Budhi aurat diasalai lene gyi

Sab chulhey ko ghere baith gye

Dophar ho gyi

Old lady lauti ni ab tak
Mujhe bhukh lgi hai,main aata hoon kele kha k

Elephant yeh bol k nikal lia

Main thoda ghaas kha loon,tum sab dekho tb tk

Donkey bhi nikal liya

Main bhi ek do aam kha k aata hoon

Bandar yeh kahte huye chala gya

Dheere dheere sab nikal liye,abhi aane ko bol k

Lady aayi

Koi na tha

Khair

Chuley mein aag lagai

Aur

Intzaar karne lgi sabka

Kuchh wqt baad sabhi lautey

Kha pee kr

Donkey ne matke mein jhanka

Pani ubal rha tha

Par

Machhli?

Sab hairaan

Pareshaan

Phir

Dhakkam dhukki

Matka chulhey par gira

Pani garam tha

Kisi ka hath jala

Kisi ka face

Kisi ka pet

Matka to phut gya

Chulha bhi toot gya
Nalaayakon

Lady jor se chikhi

Haathi ne mera ghar toda
Tum sab ne mera chulha,matka bhi tod diya

Usne chulhey se jalti lkdi uthai

Saare wahaan se bhaage

Lakadhaara ped k pichhe chhupa

Budiya ki nazar padi

Tu kya dekh raha hai?

Kulhaadi
Lakadhaara bola

Kyaaaaaa,tu mujhe kulhadi se marega

Aag babula ho gyi old lady

Lakadhaara sir pe pair rakh bhaaga to bhaag hi gya

Phir woh kabhi nadi kinare nhi gya

Ekk kahani

Ekk kahani
Sachchi hai ya hai jhuthi
Socha nahi
Maine bhi suni
Kisi aur ki jubani

Khair
Jo bhi ho
Achchhi lgi
Mann ko mere yeh sachchi lagi

Ekk tha ldka
Ekk panjabi family mein paida hua
Father ki thi ekk sabji ki dukan
Aur tha rehne ko ekk chhota sa makaan
Jindagi tanghaal thi
Phir bhi
Khush haal thi

Pita roj sabjiyan bechta
Jo bhi tha kamata
Us se tha parivaar chalta

Ekk din ki hai yeh baat
Laga tha baazaar
Chal rhi thi haat

Pita ko khana dene ladka tha aaya
Pita ko potli thamayi
Aur muskuraya

Babu ji
10 paise dena

Pita bola
Ekk ghante dukan sambhal
Phir deta hoon

Ladke ne mna kar diya
Kuchh na bola aage
Bas
Chal diya

Phir kya tha
Raat ko pita jab lauta ghar
Bulaya ldke ko
Aur bola phir

Kyun re manna
Sabji nhi bechega
To kya karega
India ka prime minister banega

Ladke ne socha
Ekk pal
Apna sir uthaya
Aur bola

Ji babu ji

Dat boy manna is now india's present prime minister
Dr. Manmohan singh

20140307

कंक्रीट के जंगलात में

कंक्रीट के जंगलात में
पौधे उगते हैं
छायाहीन
फलविहीन
बस भरमाती है
उसकी हरियाली
इन जंगलात में
अजीब हो जाते हैं
रिश्ते भी
दिल के नहीं
देह के रह जाते हैं
उल्लास
हसरतें
दबती जाती हैं
भावनाएं खोतीं जाती हैं
कंक्रीट के जंगलात में

बस
दस्तूर निभाए जाते हैं
कंक्रीट के जंगलात में

20140304

Jee le zraa(edited)

bikhri huyi hain tamaam khusbooyen
thaam le tu koi bhi ek dorr in mein se
Aur
jee le zra

arzooyen udti hain
thaam unko
Samet le baahon mein apne
Aur
jee le zra

raks krte hain anginat khaawb asma mein khwaahison k
Chun le tu bhi apney liye kuchh ekk
Bunn le tu bhi kuchh ekk sapney
Aur
jee le zra

pukarte hain megh tammanaon k
jhilmil krte
Hai ekk sitaara
Tere waastey bhi
ja thaam le
haath uska
udd le jee bhar
Aur
jee le zra

kya hua k koi haath chhuta
kya hua ek ek sapna
toota
phir se bun naye khwaab satrangi baahen khol aur jee titli k maafiq zindgii
bhool mat
yaad rakh
tu hai muskaan
tu hai khushi
bss jee le zraa

20140302

Bible se

Bahut hi purani
Hai yeh kahani

Garden of haven mein
Raha karte the
Eve n adam

All where thi bikhri Khubsurati
Phool the har jagha
Har ek kadam

Ish ne di thi poori azaadi
Ghumaa karte the woh dono
Heavan ki saari vaadi

God ne bola tha
Jaahaan mann chaahe jaana
Jo ji chaahe tum woh karna

Bas is right side ki jhadiyon ki or mat jaana
Na hi unke falon ko chakhna

Lekin

Jaisa k hota hai
Jis baat ko karne ko kahe log mna
Mann kehta hai
Kyun??
Chaahe wahi kaam karna

(Its human nature)

To
Kuchh din to rahe
Mann ko maarte
Jaate aksar usi or
Khade ho k jhadiyon ko taakte

Aur ekk din

Adam ko rha nhi gya
Usne haath badhaya
Toda ekk phal ko
Aur kha liya

(Aage kya hua yeh to har koi hai jaanta
Adam ko ghyaan aaya)

Ish ko pta lagi yeh baat
Adam ne khaye
Nishiddh phal

Kuch pal socha
Ish ne
Aur
Chal diye adam ki or
Dusre hi pal

Adam ne suni
Ish k kadamon ki chaap
Khud ko chhupa liya

Ish ne pahuch k
Adam ko di aawaaz
Suni usne aawaaz ish ki
Par
Chhupa rha un jhadiyon k peechhe
Chupchaap

(Ish ne adam n eve ko heaven se nikal diya,ham sabhi usi k vanshaj hain)

Yeh to thi kahani
Nhi jaanta
Sach hai ya jhoothi baani

Par
Dekhta hoon aaj bhi
Mann pukarta hai
Par
Ham uski nhi sunte

Khud ko chhupate hain
Khud ki hi nahi suntey

Dhundhtey hain
Mandir,masjid

Khud k bheetar
Nhi dhoondhtey

Umar beet jaati hai
Khatam ho jaati hai
Aur
Ham

Sach se hain bhagte
Kehte hain
K
Sad hain
Dukhi hain

Sukh ko hain talaashtey

Par

Sukh ka ekk sota(fountain)
Hai apney hi bheetar
Yeh hi nhi jaantey